Mutafarriqaat

Nakhoon ku barhaana

Q: Daur-e-haza mein masail hein. Jaise nails jo ladkiyaan badhati hein aur mana karne par daleel aur kya aap mujhe online dars de sakte hein. Arabic grammar ka Aur hidaya awwalain ka. Agar mumkin ho to.

Gay marriage owr haraam talluqaat

Q: Mera sawaal ye hai ke aaj kal bohot zyada trend me hone ki wjah se girlfriend boyfrien culture ko follow karke ek haram relation me reh kar couples at last marriage kar lete hain. Unki ye jo thinking hai ki hame be karni to shadi hai is lihaz se hmara relation jaiz hai to kya frk hota hai is trah ki gai marriage me or halal trah se ki gai marriage me Please ise deen ki roshni me smjhae kya esi shadiya b kamyab ho jati hain kya inme bhi kher hoti hai yaa kya nuksan hai ese shadi krne me.

Istikhaara ka Sunnat tareeqa

Q: Mujhe ek baat pochne the ke ishktakara ka tarika aur dua de hue ha apke yaha woh dekh ke ishtakra kiya meiny par kuch smjh ni ata aise clear haa ya naa ka jwb hassil krne ke liye suna ha taseebh wala ishktakara bhi hota ha ap mujh uske barey mein bhi btaye aur haan mery liye bhout dua kijayega ke mein apne shohar ke pas Pakistan jaldi chali jao meri mom aur sab rokna cha rahe ha par mein jana chahty hun. Aap dua kijeyga Allah se mery liye aur please mujj tasbeeh wala ya ishktakara ke liye Jo namaz ada kr ke pata krty ha woh bataye aap.

Waalidayn owr baro ke saath mahabbat, adab, aur tawaadhu ke saath pesh aana

Q: Main bohat pareshan hon apne ghar waalon se kyun ki gharpe walidain ke saat badhzuban istemaal hoti hai. Lekin meri walidain ko aur bhaiyon ko bora nahi lagta. Lekin main ek haq baat karta hon to main sab ki nazron mein bora banjaata hon. Aisa kyun? Aur mere chote bhai aur mere bade bhai log walid ya waalda se badhzuban se baat karte hai to hamare bade hasi mein baat ko woda dete hain. Aur main thuda ghusse mein baat karta hon to os baat pahad se bhi bada bana dete hain aisa kyun hora hai mere saath? Agar ghar pe koi ghalat horaha hota hai to main faoran moonh pe booldeta hon kya ye mera rookna ghalat hai kya mera ghusse jayaz nahi hai kya main ghalat hon bataiye main kya karon?

Kabootar bimaar aadmi ke sar par milaana

س: بہت سے لوگ علاج کے غرض سےکبوتر وغیرہ بیمار کے سر یا جسم کے ساتھ پہیر کر آزاد(اڑادیتے ) ہیں اور درج ذیل طریقے سے بہت سے مريضوں کو فائدہ بھی ہوا ہے تو سوال یہ ھے کہ اس طرح سے علاج کرنا جبکہ عقیدہ درست ہو اور غیر مسلموں والا نہ ھو جائز ھے کہ نہیں ?جواب عنایت فرمائںیں عین نوازش ہوگی

Birthday manaana

Q: Mera sawaal ye hai ke Islam me birthday manana kaisa, ya kisiko birthday par mubarakbad de sakte hai ya nahi, ya aisa koi amal Jo hame birthday k din karna chahiye? Rehnumai farmae.