Q:
1. Manay aap se poocha ke jin me be hayaai na ho esy darama dekh sktay he to ap ne farmaya jandar ki tasweer khenchna or dekhna gunah h lakin tv pa to islami progarams bhi lagtay hn jinnl ma baray ulma atay hn istarha un ki pictures or videos banti hn kia ye bhi gunah he? Ulma to har gunah se bachtay he wo ye kesy kar skty?
2. Aaj kal ghar walay jo aik dusray se door hotay he video call karty hn ak dusray ko apni picture bhejtay hn kia ye jaiz he?
3. Aagr picture ya video sirf mobile ma rahy dhulwayen na to bhi gunah he agar nahi to phir TV pa jo videos, pictures ati hn wo kesy gunah h.
4. Kia har tarah ki jandaron ki pics , sketches or jo cartoons hn or whatsapp waghera ma smiles or stikers cartoon jesy wo bhi gunaah he?
Sorry mera maqsad ap ko pareshan karna nahi h ma sirf apni islah k liye poochti hun plz meray sab sawalon ke jawab dijiye ga.