Mutafarriqaat

Na jaaiz talluqaat

Q: Aik larki jis sy zinnah huwa tha aik saal phly usny Allah se bht mafi mangi aur us gunah sy toba kar li usky bad us larki ki zindgi me aik aur larka aya jo us sy nht pyar krta tha unki 5 6 mnths sy bht achi understanding thi unky darmian zinnah ky ilava takreban sab ho chuka tha(kissings hugging etc etc) wo bus zinnah jasy gunah sy ruky hvy thy aur wo nikkah ky ey tyar thy mgr kisi trha us larky ko us larki ky gunh ky bary me pta chal gea jab us ny larki sy pocha to us larki ny apna jurm kabool kar lia aur us sy mafi bhi mangi larka ab bhi us sy bht pyar krta hai aur ye janna chahta hai ky kia ab wo ye sab janty hvy us larki sy nikkah kar skta hai ya nai ? Islam kia ijazat deta hai ya nai? Aur agr islam ky mutabik saza kat ly to tab kia hukam hai us sorat me bhi nikaah hoskta hai ya nai? Meri guzarish hai ky sahi rasta btaya jaey jo quran aur sunnat ky mutabik ho.

Qimaar owr juwa

Q: Meri ek friend boli ke is baar match mai India nahi Pakistan jitegi but maine bola nahi India jitegi than she said if India will win, she will give me 100 Rs. But if Pakistan win then I have to give her 100 Rs. So,Kya Islam mai is tarha ki Shart lagana allowed Hai?

Government se commission lena

Q: Me government servent hon Grade-17ma. Mere 2 sawal han:

1. Hamare department me commission fix ha 3% for SDO/Assistant Director and 5% for Xen/Deputy Director. Ye government ki taraf se nahi ha balka Khud department walo ne rakhi huwe ha. Jo ka shaid angreez/british ka daur se chali arahi ha. Is commssion ka bagher PoL, rent aur dosre kharche sirf salary ma nahi pure hote. Kia ye lena jaaiz he?

2. Agar commission jaiz nahi tu kia sirf is niyat se la sakte han ka ham apni zaruriyat puri kar sake aur sath hi sath kisi aur ghareeb ki madad kar sake?

Meerath

Q: Mere father in law ke naam ek property thee. Un ke teen betay or ek beti hy. Mere father in law ye property apni owlaad ke naam pe karna chahtay thay lekin kuch documents ki waja se ye property unki owlad ke naam pe transfer nahi ho saki. Itnay me on ke ek betay ki death hogai jo mere husband thay or kuch arsay baad mere father in law ke bhi death hogai. Ab mere brother in law nay wo property kisi ko sell kardi or onka ye kehna he ke is property me mera qanonan ya sharan koi hissa nahi hy. Please aap bataiye ke sahi kia hy?