Mutafarriqaat

Taubah karna

Q: Agar kisi insaan se bachpan me koi galti se gunah hojae jis se us pe dagh lag jae yani uske sath badfali hoi ho to kia wo apni zindagi aam insanon ke tarh zindagi guzar sakta he or kia us dagh ka koi illaj he is bare me tafseel se bataen.

Shaadi shuda aurat facebook per baat karte

Q: Main ek ladke se facebook per chat karti thi. Sudenly we both fell in love with eachother. Hum phir mobile pe baat karna start kiya. Woh ladke ne mujhe aaj tak nahi dekha sirf hum baat karte. Then around 1 year tak main bohot sharminda hun us cheez k liye. Mera irada time pass karna nahi tha nikah ka hi tha wallah. Kuch haalaat ki wajeh mujhe wo sab chorna para.Main kabi nahi karogi aisi harkat meri lyf main. Kya us harkat k liye mera Rab aur mera husband mujhe maaf karenge. Main bohot sharminda hun. Main kabi mili bi nahi na hi kabi main apni photo dikhayi sirf baat ki.

Champal ki chori

Q: Hum Masjid e Nabawi mein jaaty hai ya umra karne jaaty hai wahaan hamari champal chori ho jaaty hai majbooran hum kisi doosry ki pehn kar aani parti hai kyun k haram se bahar bus stop tuk kaafi faasla hai garmi mein pedal nahi chala jata. Yeh chori ki zimmah mein to nahi aata?

Imtihaan me naqal karna

Q: mere papers chal rahe hain wahan jis class main paper hote hain uss school wale naqal kerne ki ijazat dete hain. Mager jo board paper nickalti hai uun ki taraf se naqal kerne manah hai or uun board walon ke officers chapa marne bhi aate hain exaim hall main phir jo naqal main pakra jata hai usko copy case kerdete hain. ab aap batayen main naqal kersakta hun q ke taqreebab puri class naqal kerti hai or wahan tou riwaj hai naqal ka board walon ko bhi pata hai naqal chalti hai iss liyeh tou woh school visit kerne aate hain ke dekhen kon naqal kerta hai. tou main ager naqal kerun ga tou mujhe gunnah mile ga? Ahadees, Qur'an paak ki roshni main jawab dain. please main pereshan hun iss masle pe q ke mujhe papers yaad bhi nahin itne ager main naqal nahin kerun ga tou mera paper bohoot bura hosakta hai or shayad main fail bhi aa sakta hun tou kya kerun main?

Zere naaf ke baal

Q: Mera sawal hai ager baghal,zeere naaf baal ya masane, kulon ke baal mard ya ourat ke barh jayen yani bare hojayen. 40 din se pehle hi tou uun balon ka katna wajib, sunnat, farz hai? Ya 40 din pure kere ga tub uss ourat, mard pe napak balon ka katna farz hoga ya wajib? Or ager mard ya ourat ke 40 we din ya 41 we din pe bhi napak baal zyada berhe nahin hue tou us pe uun napak balon ka katna farz hai wajib hai ya sunnat? or konse konse jisam ke balon ka katna wajib hai or kin ka sunnat or kin ka katna fardh he?