Mutafarriqaat

Imtihaan me naqal karna

Q: mere papers chal rahe hain wahan jis class main paper hote hain uss school wale naqal kerne ki ijazat dete hain. Mager jo board paper nickalti hai uun ki taraf se naqal kerne manah hai or uun board walon ke officers chapa marne bhi aate hain exaim hall main phir jo naqal main pakra jata hai usko copy case kerdete hain. ab aap batayen main naqal kersakta hun q ke taqreebab puri class naqal kerti hai or wahan tou riwaj hai naqal ka board walon ko bhi pata hai naqal chalti hai iss liyeh tou woh school visit kerne aate hain ke dekhen kon naqal kerta hai. tou main ager naqal kerun ga tou mujhe gunnah mile ga? Ahadees, Qur'an paak ki roshni main jawab dain. please main pereshan hun iss masle pe q ke mujhe papers yaad bhi nahin itne ager main naqal nahin kerun ga tou mera paper bohoot bura hosakta hai or shayad main fail bhi aa sakta hun tou kya kerun main?

Zere naaf ke baal

Q: Mera sawal hai ager baghal,zeere naaf baal ya masane, kulon ke baal mard ya ourat ke barh jayen yani bare hojayen. 40 din se pehle hi tou uun balon ka katna wajib, sunnat, farz hai? Ya 40 din pure kere ga tub uss ourat, mard pe napak balon ka katna farz hoga ya wajib? Or ager mard ya ourat ke 40 we din ya 41 we din pe bhi napak baal zyada berhe nahin hue tou us pe uun napak balon ka katna farz hai wajib hai ya sunnat? or konse konse jisam ke balon ka katna wajib hai or kin ka sunnat or kin ka katna fardh he?

Na mahram doctor ke paas jaana

Q: Na mehrram ourat nurse, docter kisi na mehrram beemar mard ka ilaj cheack up ker sakti hai? Or aise hi na mehrramm mard docter kisi na mehrram ourat ka ilaj check up ker sakta hai? Or na mehrram school, college  tc ke teacher ko dekh sakte hain shewat ke ya baghair shewat ke?