Talaaq

Shohar paper par dastkhat na diya

Q: Mjhy ek stamp paper mila ssp office me bula k mere susar na dia k, usme dekha gaya k stamp pa mere sign r gawahon k sign b mojod hen, jok na mene stamp banwya na mjhy is stamp k bare me koi ilm tha r stamp paper b kse or k name s lia wa hay or na hi mene koi sign kia hen or gawahon s pocha gaya to us pa 5 gawah me s 4 gawah bayan de rhe hen k na hamare samna Talaq nama pa Rutab na sign kia na humna talaq dety suna wo yeh bat halfia bayan de rhe hen to kia aya asi sorat me talaq waqai hojati hay.

Shohar ke kehna "tum mairi bv nahi ho" se talaaq

Q: Mairy husband ny kal aony hosh o hawas mai kaha k mai Allah ko hazir nazir jaan kr kehta hu k tum mairi bv nahi ho.. Mjhy shock laga k shyd mai ny ghalat suna hai.. Mai ny kaha k ap ny kia kaha hai.. To shohar ny dobara yahi ilfaaz repeat kiye... Iska kia matlab howa k divorce ho gai hai ya nahi howi.. Or aisi halat mai kia krna chaie?? Mai ny abhi ye baat kisi ko nahi batayi

Eela ki qasam khaane ke bad kitne talaaq baaqi rehe gi?

Q: Agar kisi ki rukhsati nahi hoi or khalwat-e-saheeha bhi nahi hoi ho or shohar ne eela ki qasam kha li or uske bad 4 mahinay guzarne se pehle hi biwi ko aik talaq-e-bain di or jab tajdeed-e-nikah krne kay bad humbistri kren to kitni talaq baqi reh jaen gi?

1. Agar eela ki qasam khai thi jis din us din se le kr 4 mahinay k ander ander talaq or tajdeed-e-nikah or humbistri krli?

2. Jis din eela ki qasam khai thi or talaq di thi us k 4 maah guzarne ke bad agar nikkah or humbistri kren to kitni talaq baqi rahen gi?

Do talaaq

Q: Ek din mera aur mere husband ka jhagda hua. Maine gusse me unse talaq mang li unhone kaha "thk h maine de diya" but unhone talaq ka word use ni kiya aur na unki niyat ti dene ki to kya usse talaq ho jaygii aur iske thodi der bad mere husbnd ne do bar mere mangne pe bola k "maine tmhe talaq diya" To kya talaq ho gyi?

Hum log isko do talaq smjh re te phle wale pe dhyan ni diya ta bad me khayal aya k bgair talaq ka alfa bole b takaq ho jata h. Kya phla wala lafz kinaya me ayga ya teen talaq mani jaygi ab plzz masle ka hal btaye

Talaaq ko mua'allaq karna

Q: Behs ke doran shohar ne kaha ke agar aap ko sukoon nahi hai to me aap ko karta hu ya kardeta hu farigh to is se talaaq hojati hai aur agar ye ye kaha ho ke agar me aap ko kar do farigh to phir aisi baatein karti rehna to is se kiya talaaq ho jati hai rukhsati se pehly phir humara relation ho chuka hai?

Kinaayah alfaaz se talaaq foran hoti hai

Q:

1. Kinaya alfaaz se jo talaq di jati hai wo foran baain hoti hai aur tajdeed e nikaah zaroori hota hai? Kaii ulama ka kehna hai k chahay sareeh lafz se ho ya kinaya se 3 maheenay guzar jaein toh hi baain hogi warna nahi hogi.

2. Mein ek masalay se pareshan tha k kuch log kehtay thay k lafz "chor dia" sareeh hai aur kuch kehtay thay ke kinayah hai toh mein ek bohot baray Mufti Sahab se mila unho ne likh ke fatwa dia ke kinayah hai aur arbi zubaan mein tarjuma kar ke bhi bataya. Aur meine ek number pe call ki thi koi Darul Ifta thi toh wahan pata nahi kisi ne kaha k sareeh lafz hai. Mujhe kiski baat manni chahiye?