Khalwat se pehle teen talaaq dena
Q: Mera nikah hua tha or rukhsati nahe hui the.. is doraan kuch haalaat ki wajah se maine apni wife ko court k zariye talaq k papers bijhwa diye... talaq name pe 3 dafa alag alag likha hua tha k main talaq deta hoon... meri wife ne abhi tak un papers per sign nahe kia... un ki taraf se ek sahib sulah k hawale se aye thay q k un ko ye shak tha k maine ye talaq apni marzi se nahe di to maine un k samne bhi ye tasleem kia k talaq maine he di hai or maine is pe qaaim hoon ... phir maine apne walid or walida k samne bhi ye alfaz 3 martaba repeate kiye k main talaq deta hoon main talaq deta hoon ...ab main ye jan na chah raha hoon k kya hamari 3 talaq he ho gayi ? ya abhi ham dubara rujoo kar sakte hain ? kya dubara rujoo karne k lie halala ki zarurat paregi ya nahi ? q k mera nikah hua tha or rukhsati nahe hui the to meri wife iddat bhi puri nahe kar rahi ... rehnumai farmaiye