Apni biwi ko londi kehna
Q: Mujhe ye puchna tha k mene apni biwi ko londi kaha jaise amooman log larkiyu ko londiyan kehte hain meri niyat bhi yahi thi jaise log larkiyu ko londi kehte aksar to mene bhi keh dia to is se koi masla to nahin hua?
Q: Mujhe ye puchna tha k mene apni biwi ko londi kaha jaise amooman log larkiyu ko londiyan kehte hain meri niyat bhi yahi thi jaise log larkiyu ko londi kehte aksar to mene bhi keh dia to is se koi masla to nahin hua?
Q: Mufti sab mera ik dost boht mushkal mein ha plz tell me solution mery ik dost jis ka taluq sunni firqa sa tha os ne apni wife ko ishtam paper pr 3 talaq dy di lakin os ko bad mein ehsas hova glt kr chuka ha vo boht sa Ullama k pass gya or bivi ko wapis lany k liay fatwa leny ki koshish ki mgr fatwa ne mila lakin Al hadis k Ullama ne os ko fatwa dya k 1 mujlis ki 3 talaq 1 hoti ha lehaza vo raju kr ly os ne apni bivi sa Al hadis k fatway ki roshni mein raju kr lia mgr vo admi Al Hadis ne ha na he firqa parast ha us ka ab aqeeda ha k ik mujlis ki 3 talaq ik talaq hoti ha.mgr os ki wifi sunni muslak sa ha or vo smj rehi ha k halala k beghair raju guna ha is sort mein kia os admi ko halala krwana chaiy ya halaly ki zrort ne ha please Quran or hadees ki roshni mein jawab den jub talaq hoi to vo sunni mslk k tait hoi mgr jub raju hova to vo Al Hadis k fatwy ki roshni mein hova kia krna hoga ab????
Q: Agar koi aadmi apni biwi ko ik he waqt mein teen talaaq likh kar day or os admi ka taluk al e sunnit sa ho lakin talaq diny ke bad os ko sharmandgi or afsos ho to vo admi Al Hadis sa fatwa ly k ik mujlis ki 3 talaq ik talaq hoti ha kia is tra fatwa leny sa vo donu pely ki tra husband or wife bn kr reh skty hen Quran o Hadis ki roshni mein please bataen aisa krny sa vo husband or wife rehn gay ya Halala krny k beghair vo mian bivi ne bn skty.
Q: Mufti Sahib, mera sawal ye he? Meri wife se fight hoi. Usne mujh se talaaq ka mutaalaba kia. Mene begum se kaha me talaaq de deta hu. Wife ne phone band kardi. Phir mene wife ke father ko call ki aur unse kaha ke ap ki beti fight karti he aur talaq ka mutaalba karti he aur mene kaha ke me talaq de deta hu talaq de deta hu talaq de deta hu unke father ko words kahay aur inn alfaz mera irada dene ka nai tha aur mene ye alfaz present ke lia nai bole thay just for future. To kia iss se talaq wakia hoi.
Q: Mera swal ha ke agr koi aisa admi jis ko talaq k method ka pta ne ho vo apni bivi ko ik he waqt mein 3 talaq likh kr day or pher ik mujlis ki 3 talaq ko ik talaq shamar kr k dobara apny gr ly ahey or bivi khavand ki hasiat sa rehna start kr day ahea Quran o sunnt ki roshni mein aisa krny sa vo mian bivi bn skty hen ya halaly ki zrort hogi.
Q: Me ayk karobari banda hn. Kuch din pehly mere walid ke sath jhagra hone pr me ne kaha ke agar dubara dukan pe bait gaya to meri biwi ko ayk talaq do talaq teen talaq. Lakin ab ghussa utarne ke baad muje ihsaas hua ke me ne ghalat baat ki owr me dubara dukan pe baitna chahta hn to is masalay ka kya hal he?
Q: Ek shakhs apni biwi ko ek majlis mein 3 talaq stamp paper par likh kar dita ha or us admi to talaq k musaail ka ilm ne hota ha lakin talaq hony k bad wo talaq par research karta ha to maloom hota ha talaq ka tareeka galt ha or wo biwi ko gar waapis lany k liay muqalat e fatawa ek book ha os mein 3 talaq ko ek talaq ka shumar karny waly fatwa ko par kar wo is par amal kar k talaq ka ek saal bad biwi ko waapis gar lay ahta ha or wo pely ki tarah rehna start kar dety hen or is waqia k bad un k 3 buchy bi ho jaty hen aisi sort mein kia os bande ne biwi ko gar waapis la kar galt kia or agar os ne galt kia to ab kia haal hoga kia os ko ab halaala karwana chaiy ya ne or os ne agar guna kiay to iska kafara ki hoga or kia halaala k beghair wo mian biwi ne hen or 8 saal guna karty rehy.
Q: Me apny husband se do saal se alag hu ab mjy ye pochna he ke nikaah ki muddat ky h kitny tym bd nikah khatam ho jata he?
Q: Mera sawal yeh hai ke talaq ho jaane ke baad bhi aurat do saal pahle talaq ho jaane ke baad bhi apne sabiq sauhar se humbistar hoti rahi. Ab phir woh apne sabiq sauhar se do saal baad nikaah karna chahti hai to halala nikah se pahle usse iddat karni hogi?
Q: Mera sawal ye hai ke meri wife se larai hui aur mere ghar walon ko maine guse main kaha ke isy talaq du ga us time meri biwi pas maujud nahin thi. Lekin bad main mene talaq nahin di to ab kia hukam hai is bare main?