Talaaq

Waswasa

Q: Me wawswasa ka mariz hu ab bat ye he ki shaytan hamesa naye naye doubt or waswasa dimag me dalta rehta he jisse me bahut confuse or pareshan hu ab muje kya karna chahiye please meri rahnumai farmaye kabhi taharat to kabhi talaq jaise masail ke bare me waswase or doubt dalta rehta he ke tune talaq jaisa lafz bola he hala ke muje yaad nahi he ke mene pura sentence kya bola hoga mene yaad karne ki koshis ki ke kya bola hoga lekin kuch yaad nahi aa raha ab muje kya karna chahiye aap mere liye duaa kijye Allah muje waswas ki bimari se nazat de aise waswas mera sukun aur khushi chali gay he me bahut soch or fikar me rehta hu.

Zarbardasti se talaaq likhwana

Q: Agr kisi admi ko os ki wife k relatives court or thany mein ly jaen or mentaly tourcher krin or thany waly b mently tourcher krin or vo bnda tang ah kr wife k warson ko paper pr talaq talaq talaq likh kr kr dy dy or talaq likhny ki wja govt job khtm hony ka dar ho or wo admi talaq diny sa pely 24 ganty mein 100 sa ziada cigret p chuka ho or 2 din sa jag rah ho kia is sort mein talaq ho jati ha jub k os admi ne zuban sa talaq ne di ho sirf paper pr likhi ho

Teen talaaq

Q: Muje meri bhen k bare mai aapse puchna tha ki uske aur uske husband k bech boht bada jagda huva ph pe aur meri bhen ne use bola ki talaq 3 bar lekin jiju chup bethe kuch nai bola fer didi ne maafi mangi aur sulah ki fer dusre din di aur jiju gabra gaye ki kuch huva tou nai fer sham ko kisi bande se jiju puch rahe the ise baat hai jiju ne 6 bar talaq lafaz bola magar dusre ko aise ki (us ne bola talaq talaq talaq) fer 5 min k bad dubara (ki maine usko bola dil se bolrahe ho usne bola haa talaq talaq talaq) didi ph pe sunrahe thi jab vo baat ki wazahat karahe the ise nikkah pe koi asar tou nai hota nikkah durusat hai....Jiju ka talaq dene ka koi intention nai tha bs jo hova vahi baat kisi aur ko batarahe the didi me fer pucha b jiju se usne bola nai maine aisa kuch nai bola

Halaala

Q: Jis aurat sa halala ho rah ho us aurat ko kitna time halala waly murd k sath rehna chaiy? Kia halala k bad talaq murd ki marzi sa hoti ha ya aurat ki mrzi sa b ho jati ha?

Teen Talaaq

Q: Mein divorce k bare mein confirm krna chata hun k hoi ha ya nai. Mere aur meri wife k darmian kafi conflicts a gye hen aur almost 2 years ho chuke hen ur wo mere sath nai rahti, is doran aik beti b born hoi ha aur wo 5 months ki ha ab halat aise creat hoe hen k mobile pr conversation its mean messaging k doran bat brdasht se bhr ho jati ha aur men divorce is tara likh data hun men tumen talaq data hun men tumen talaq data hun men tumen talaq data hun aj k din se tum muj pr haram ho is k bad conversation khatam ho jati ha. aur meri wife mere reletives aur friends ko phone krti ha k asif ne muje divorce de di ha. aur is k 3 months, bad written form men har month 2 divorce notice send kr dia hen ab jb k 3rd notice send krne lage hen to meri wife razi nama krna chahti ha lakin log khte hen divorce ho chuki ha. ab muje kia krna chahye

Teen talaaq

Q: Mufti sab mera ik dost boht mushkal mein ha plz tell me solution mery ik dost jis ka taluq sunni firqa sa tha os ne apni wife ko ishtam paper pr 3 talaq dy di lakin os ko bad mein ehsas hova glt kr chuka ha vo boht sa Ullama k pass gya or bivi ko wapis lany k liay fatwa leny ki koshish ki mgr fatwa ne mila lakin Al hadis k Ullama ne os ko fatwa dya k 1 mujlis ki 3 talaq 1 hoti ha lehaza vo raju kr ly os ne apni bivi sa Al hadis k fatway ki roshni mein raju kr lia mgr vo admi Al Hadis ne ha na he firqa parast ha us ka ab aqeeda ha k ik mujlis ki 3 talaq ik talaq hoti ha.mgr os ki wifi sunni muslak sa ha or vo smj rehi ha k halala k beghair raju guna ha is sort mein kia os admi ko halala krwana chaiy ya halaly ki zrort ne ha please Quran or hadees ki roshni mein jawab den jub talaq hoi to vo sunni mslk k tait hoi mgr jub raju hova to vo Al Hadis k fatwy ki roshni mein hova kia krna hoga ab????

Teen talaaq

Q: Agar koi aadmi apni biwi ko ik he waqt mein teen talaaq likh kar day or os admi ka taluk al e sunnit sa ho lakin talaq diny ke bad os ko sharmandgi or afsos ho to vo admi Al Hadis sa fatwa ly k ik mujlis ki 3 talaq ik talaq hoti ha kia is tra fatwa leny sa vo donu pely ki tra husband or wife bn kr reh skty hen Quran o Hadis ki roshni mein please bataen aisa krny sa vo husband or wife rehn gay ya Halala krny k beghair vo mian bivi ne bn skty.

Me talaaq de deta hu

Q: Mufti Sahib, mera sawal ye he? Meri wife se fight hoi. Usne mujh se talaaq ka mutaalaba kia. Mene begum se kaha me talaaq de deta hu. Wife ne phone band kardi. Phir mene wife ke father ko call ki aur unse kaha ke ap ki beti fight karti he aur talaq ka mutaalba karti he aur mene kaha ke me talaq de deta hu talaq de deta hu talaq de deta hu unke father ko words kahay aur inn alfaz mera irada dene ka nai tha aur mene ye alfaz present ke lia nai bole thay just for future. To kia iss se talaq wakia hoi.