Talaaq

Talaaq ka khiyaal aana

Q: Hamaara nikaah ho chuka hai, lekin abhi meri wife apne ghar par hai. Rukhsati abhi nahi hui hai. Jab se talaaq ke baare me fatwa sune hai aur kuch video dekhe hai tab se mere mind me baar baar ek hi sawal aa rha hai ki agar hum aur juban pr bhi agar kabhi hum bhi agar talaq ki neeyat krenge to hmara bhi talaq pad jaayega ya meri wife ko talaq ya hum kbhi neeyat bhi kiye ki hum apni wife ko talaq denge agar neeyat bhi talaq ki krenge ya talaq dene ki neeyat se kabhi kuch bolenge yaa kbhi neeyat krenge ki hum apni wife ko talaq denge to humara bhi talaq pad jaayega yhi sab baat mind me aur juban pr aa rha hai akele me khud se baate krte rehte hai sar to Kya is se humara talaq pad gya to kaun sa talaq pad gya ya kitna talaq pada kyu ki abhi tak hum apni wife ko talaq nhi diye hai lekin jab se talaq ka fatwa sune aur kuch youtube pr video dekhe haib yhi sab baate soch rhe hai. Isi liye hum apni wife se jyada baat nhi kr rhe hai kyu ki agar ye sab us time mere mind me aa gya to humara talaq pad jaayega. Hum kya kre kuch samjh me nahi aa rha hai.

Taaluk khatam kehne se talaaq

Q: Mene apni biwi ku ye kaha ke agar mene ye lafz dobara suna to samajh lena ke taaluk khatam. Please mujhe ye batayn ke agar ghalati se meri biwi wo lafz dobara keh deti he to kya hamara rishta khatam hojayga jab ke mene usi waqt ye keh diya tha ke me apne alfaaz wapas leta hu. Please reply.

"Tum meri taraf se azaad ho" khene se talaaq

Q: Aik aadmi ne aik din larae ke doran apni biwi ko talaaq de. Is k aik saal ke bad aik dn phr usi admi ne namz prhny k bd ja,ae nmaz pe baith k apni bv ko Kaha k mai khuda aur us k rasool ko hazir nazir jan k khta hu k tm mre trf se Farigh ho 2 ya 3 dn ke bad admi ne phr es bt ka iqrar keya ke mai ne tumain khuda aur rasool ke nam pe faarigh kar dia. Aur mai apny pehly khy huay Alfaz pe qaim hu. Kia aisi surat mein is aurat ko tallaq ho gai he aor agr hogai h to kia wo aurat kisi aor se nikah kr skti he?

Teen talaaq

Q: Meri ek sal pehle sadi hui thi sadi me fatwa nahi padaya hua tha Na hi manjuri li just nikah Nama me sine hua tha aur wo kagjat ka registration bhi nahi hua ab meri family ne tlak dilwa diya par wo larka nahi dene mang rha tha usme ek tlak diya aur baki divorce papers par sine huye they ab me phir usi k pas Jana cahti hu dono ki rjamandi h to me ab kaise jau waha ap pls btaye.

Biwi ku daraane kia lia "hum dusri shaadi krenge" kehna

Q: Hum koi bhi baat par apni wife ko darane ki neeyat se bolte the ki hum dusri shaadi krenge. Phir wo mujhe jb bhi koi baat hoti thi to wo bolti thi ki aap dusri shaadi kar li gai ye to hum bhi bolte the ki tm ko dusri shaadi karni hai to tm kr lo tm ko dusri shaadi krni hai to btaao to Kya is se hmara talaq ho gya yaa phir kbhi koi mujhse bina btaaye koi kaam krti thi to hum gusse me bolte the ki tm ko jo dil kre tm kro apni waali aaj se apni waali krna tm aazad ho jo dil kre tm krna hum ko jo dil karega hum krenge. To is se kya hmara talaq hua ya nhi?

Biwi se kehna ke "aaj ke baad tm se baat nhi krenge"

Q: Hum gusse me apni wife se bolte hai ki aaj ke baad tm se baat nhi krenge aaj ke baad tmhare pass nhi aayenge naa tm ko apne pass aane denge naa tmhara chehra dekhenge lekin phir one week baat nhi krte hai phir jb gussa khatm ho jaata hai phir sab kuch normally ho jaata hai lekin kuch bhi ye sab bolte hai talaq ke neeyat se nhi bolte hai is se hmara nikah pr koi asar to nhi padta hai naa?