Talaaq

Teen talaaq

Q: Mera sawaal yeh hai ke kisi shaks ne apni biwi ko ek sath do talaaq di aur usi waqt uski biwi ne kaha ki ek baar aur de do aur usne de di to kya talaaq ho jayegi aur yeh talaaq mughlazzah kahi jayegi?

Lafz chorne se talaaq

Q: My husband had an argument with me about four weeks ago. He wanted to send our daughter who is 5 to Pakistan to live with his relatives for a few years. I said I couldn't live without her, he got angry and said if you won't let me make decisions about my children I don't want to live with you. Since then he is not talking to me, he has said on lots of times, we have no relationship, and ke wo mere liye ab aik chair mard hogaya hai and ye bhi kha k me tujhe chorna nahi chahta balkay chor chukha hu. He said words like this a lot. Kya aise divorce hoti? Talaaq ke word use nahi kiya bas kehtay chor diya chor chukha hu tujhe, he is living at home but like a stranger, everything separate. Please can you advice me.

Talaaq showhar ka haq he

Q: Mera sawaal yeah he ke agar husband wife kisi pressure mai ayk dowsre ku divorce deta hai to kya divorce ho jata hai jab ki dono husband wife ek dosre ko divorce dena nahi chahte hai lakin beech ka kuch log compromise ki wajah se divorce kerwana chahte hai or husband wife bahut bade problem Mai hai to uss problem se nikalne ka liya agar yeh dono divorce pressure Mai deta hai to kya real Mai divorce ho jayega ya nahi. Please hum jaldi se reply kijiye kyunki yeah kisi ki zindagi ka sawal hai.

Teen talaaq

Q: Ayk hi majlis men teen baar talaaq kah den or hafty ke ander wakel ke zareay talaq ke papers jin men ten martaba talaq ke alfaz lekhy hoty hen. Is wakey ko 9 maheny ho chuky hen. Ab dobara aik hona chahty hen tu kia mamlat hn gy?

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke teen talaaq ke baad agar sohar aur biwi phir se sath rehna chahe aur halaala nikah ke liye showhar kisi shaks se kahe ki meri saali hai aur usko uske sauhar ne talaaq de di hai phir usko halala nikah ka masla bataye ki halala nikah mein aisa hota hai ki koi shaks talaaq shuda aurat se shaadi karta hai phir talaaq de deta hai ki woh apne sauhar k liye halal ho jaye aur woh shaks halala k liye tyaar ho jata hai magar us shaks par yeh shart nhi ayad ki jaati hai ki tum humbistari k baad talaaq de dena aur iske liye ladki bhi raazi ho jaati hai phir nikaah k baad din mein woh dono hotel mein jaate hai aur humbistari karke woh shaks 15 minute baad talaaq de deta hai to kya halala ho gaya?

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ki halaala nikah mein ijab aur qubool se pahle agar ladke k dil mein yeh hai ki nikaah k baad humbistari k baad apni biwi ko talaaq de dunga ki woh apne sabiq sauhar k liye halal ho jaye aur ladki k dil mein bhi yahi hai ki talaaq k baad woh apne sabiq sauhar se nikah kar legi to kya halaala nikah ho jayega?

Teen talaaq ke ba'd saat rehna

Q: Mera sawal yeh hai ki mere bhai ne apni marzi se nikah kiya tha 16 saal pahle hum log sab saath rahte the un logo mein kabhi kabhi ladaai ho jati thi in 16 saalo mein usne apni biwi ko kabhi shaadi ke 2 saal baad 3 tallaq di kabhi shaadi k 6 saal baad talaaq di aur kabhi shaadi k 8 saal mein sirf dhamkane k liye talaaq di magar magar har baar 4 ya 5 din baad ruzu kar leta tha to kya talaaq ho gayi?