Talaaq

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke mere bhai ne 5-6 month pahle apni biwi ko teen talaaq de di thi phir uske dowst ne ek maulana se fatwa lakar diya ke teen talaaq ayk hoti hai aur woh log sohar biwi ki tarah rahne lage phir hamare ghar ek alim sahab aye aur unhone kaha ki 3 talaaq ka matlab talaaq ho gayi hai aur talaaq diye hue 5-6 month ho gaye hai to iddat ki muddat to khatm ho gayi jo ap logo ne mubashrat ki woh haram hai ab iski surat yeh hai ki halala hoga phir mere bhai ne apne dost se halala ke liye baat ki aur usko masla bataya magar yeh shart nahi lagayi ki mubashrat k baad woh talaaq de dega is tarah se nikah hua aur woh log din mein jakar hotel mein humbistari ki phir 1/2 ghante baad usne talaaq de di jab usse kaha gaya ki tumne apni marzi se talaaq di hai to usne kaha haan to kya halaala nikah ki sharait poori ho gayi?

Teen talaaq

Q: Maine apni biwi ko ayk saal pehley gusay main do baar talaaq ka word zabaan say ada kardia. Us key bad relation phir achey hoye. Phir hum bistri hoti rahi aor Allah nay bethi di, tu kia wo do talaaq khatam hogaye hum bistri say? Ab dobara ayk saal bad wife nay bohat bar bhol mou say talaq day do. Ayk din tang akar mai nay kaha jayo day di lekin mou say talaq nahi kaha aor kaha chali jayo day di agar aisa hai bi tu ye ik bar hogi.

Teen talaaq

Q: Mera masla ye hai ke aat saal paihele hum dono me kuch baat ho gai to maine apni biwi se kaha ki tum mujhe talaq de do unehono kaha ki aurat ke dene se nahie hota maine kaha ki tum hi do unhone kaha ki theek hai tum likeho mai sign karti hu to maine unki taraf se teen baar divorce likeha aur unhone sign kiya. Phir maine unke sautale bhai se ye kaha ki usne mujhe de diya aur maine usko de diya.uske baad hum log fir saath raihene lage aur teen bacche hue magar meri biwi ko usi time se shaq hai ki taalaq ho gai hai magar maine kaha ki maine tumaheri taraf se likha tha to taalaq kaise ho gaya. Janab agar taalaq ho gai hai to is masle ka hal kya hai hum alag nahie ho sakte meharbani karke jaaldi baataiye.

Three talaaqs

Q: One of my friends said to his Mrs I give you divorce three times. He thinks it's classed as one even though he said it his Mrs I give divorce with her name three time without thinking and regretting it. Is there a way for them to get back or she has to do Halaala. I guess the divorce has taken place. It was to do with she did not make roti for him and few times before he said to her I will divorce you etc. They got three children and both of them not happy now. They are not together but like to get back. What's the solution please?

Teen talaaq

Q: Mere showhar har had tak mujhse wapis ruju chahty hen or me bhi unse ruju chahti hu. Wo kehte hen ke mene pressure me ake yeh alfaaz ada kie 3 bar talaq ki magar meri niyat ik ki bhi nahi thi na mujhy smjh m aya k m kya kar raha hn. Ab koi rasta nikalen mufti sahab please quke meri umer abhi sirf 20 saal he meri zindagi tabah hojayegi. Unhone maa baap ke pressure me ake yeh kaam kia mgr ab wo behad nadim he or 4 din s ro rahy hn ke mene bht bari saza de di apni bv ko jiske wo bilkul bhi qabil nahi thi. Please mufti sahab guide us.

Teen talaaq

Q: Divorce can take place without paying mahr? My mahr is 2 lac rupees. My husband didn't pay my meher and divorced me thrice and now saying mujhse ghalti hogai mujhy maaf kardo. Now he wants me back. Kya koi gunjaish hai wapsi ki?