Q: Mere shaadi ku saat years hogaye hai. Mera aik beta hai che years ka. Shadi ke start mai mera husband mery sath acha tha phir baad mai os ka behaviour change hony laga mery sath. Mera husband boht bad charactered tha, os ke boht se girls ke sath relations thi. Inhi batho ke waja se hamary larai jagray hoty rahy aur baat court tak pohnch gai. Court mai faisla huwa ke mai dobara husband ke ghar chali jao. Mai dobara waha chali gaye phir jagra howa. Phir kuch arsa baad mai apne husband ke ghar gaye mery husband ne mujhy kaha ke tum chaho tou mery sath reh sakti ho mery ghar lekin wife ke jo huqoq hai wo mai tm ko nahi dunga, mai wapas aye apne maa baap ke ghar aur waha pe do saal guzary es doran mery husband ne mera pocha na mery bety ka. Court ne mjhy aik bar phir husband ke ghar jany ka kaha mai chali gaye. Phir husband ne bataya ke tum ko biwi wali huquq nahi mely ge tum sirf mery naam ke wife ho, os ne apni maa ke qasam kaye ke mai tmhary qareeb zindage bhar nahi aonga, iss baat ko 6 months hogaye hai. Mere friend ne mujhy kaha ke es baat se mere talaq hogaye hai. baraye mehrubani mere rehnumai kejiye k mere talaq hui hai ke nahi.
A: Agar us ne aap se ye kaha "mai tmhary qareeb zindage bhar nahi aonga" owr us ke bad chaar mahine tak us ne aap ke saat humbistari nahi ki, to chaar mahine guzarne par ayk talaaq-e-baain waaqi hogai.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: