Q: Ma kisi tara bi in waswason sa nahi nikal pa raha hun. Actually muje jo cheez tang ker ri ha wo ye ha k ap na dakha ho ga k jab manay second time apnay words repeat kia k agar tum na baji ko call ki to mari taraf sa talaq ho gi ( please refer to my previous question), is jumlay ma main 'kal' ka word use kerna galti sa or ger iradi tor per bhul gya tha. muje boltay huay ni pata tha k manay kal ka word miss kia ha. ye sirf aik insani galti thi. mara maqsad qat,ai ye ni tha k ma zindagi bhar k liay apni wife ko mari baji sa bat kernay sa rok raha hun or asa kasay ho sakta ha. aik husband ko to proud hota ha agar us ki biwi husband k gar walo sa achay terms rakhti ha. manay ye words generally ni use kiay thay sirf us aik call k liay kahay thay. infact pehli bar to clear kal ka word bhi use kia tha. ma scenario bhi bata chuka hun ap ko k hamaray bich usi aik call pa argument ho raha tha or manay usi k lia shart lagai thi. Allah dilon k hal khub janta ha or amal ka daromidar niyyat pa ha. mari niyat sirf us call ki thi hamesha ki ni. ma ye bat Allah ko hazir nazir jan ker or oath la ker kehta hun. is surat ma maray case ki kia ruling ho gi? kia ma apnay biwi bachon k sath zindagi guzar sakta hun? mari wife na us din (19 august ko) call ni ki thi. lakin us k bad bat bhi hoti ha or ana jana b hota ha. mari biwi muje boht tasalli or dilasa dati ha k kuch ni hua parishan na hon lakin ma dar chuka hun. muje divorce phobia ho chuka ha. kia koi asi surat ha k ma apnay is haq sa dastbardar ho jaun q k muje hamesha ye dar lagta ha her waqt sochta hun k future ma mari zuban sa ye word khud ba khud nikal jaen gay. Me apna ghar kharab ni kerna chahta. Me apni biwi or betion sa be panah pyar kerta hun ma mar jaun ga mufti sahab plz muje is aziyat sa nikalen. Aap k jaldi reply ka intezar rahay ga. Jazaak Allah.