Talaaq

Faarigh ka lafz talaaq me

Q: Mera sawal ha lagi dinu parlay just bast ha ab tu mujy pori baat b yaad nahi koi baat Ho rahi thi tu ma na apnay husband ko bola ma na b app ko space di hoiyi ha tu he replied ( tu ma na b farigh kerwaya how'a ha ma boli Zara lafz daikhay kaya matlab ho sakta ha tu kaha matlb hota ha tu Ho phir mein chup ho gayi) Abi ma kafi prashan hon ma na kafi mufti sa poucha. Please tel me.

Showhar biwi ko gussay may kehna "Jao mene tumhain azad kia"

Q: Agar shohar biwi ko gussay may kahay "Jao mene tumahain azad kia" tum farig ho meri taraf se" and kai bar kahay eik sath. Aur time to time like eik month ke bad bhi yehi ilfaz kahay. Phir again kch arsay ke bad kahay tu kia isse talaaq ho jati hai? Ayk aur bat add karna chahun gi. Bad me agar khaawind kahay ke meri talaq denay ki niyat nai thi but usne hamesha gussay me kahay ye ilfaz. To kia ye talaq ho gayi?

Behn ke sohar ke saath halaala karna

Q: Mera sawaal ye he ke maine meri biwi ko teen talaak ek saath di. Us waqt me islam me ziyada nahi samjta tha, phir galti ka ehsas hua ki ye galat ho gya. Ham dono ne waapas sath rehne ka faisla liya or hum ne bad eddat ke halala kia. Halala meri biwi ki sagi bahan ke sohar ke sath hua or halala ki saari sharte puri hui. Bad halala ke wapas talak ho gayi or bad iddat ke hum dono ne wapas nikah kar liya. Lekin ab kisi molana se pucha to bataya ke ap ka halala hua hi nahi. To ye halala hua ya nahi? Please sari details saaf saaf bataye.

Kisi ku phone karne par talaaq ku muallaq karna

Q: Ma kisi tara bi in waswason sa nahi nikal pa raha hun. Actually muje jo cheez tang ker ri ha wo ye ha k ap na dakha ho ga k jab manay second time apnay words repeat kia k agar tum na baji ko call ki to mari taraf sa talaq ho gi ( please refer to my previous question), is jumlay ma main 'kal' ka word use kerna galti sa or ger iradi tor per bhul gya tha. muje boltay huay ni pata tha k manay kal ka word miss kia ha. ye sirf aik insani galti thi. mara maqsad qat,ai ye ni tha k ma zindagi bhar k liay apni wife ko mari baji sa bat kernay sa rok raha hun or asa kasay ho sakta ha. aik husband ko to proud hota ha agar us ki biwi husband k gar walo sa achay terms rakhti ha. manay ye words generally ni use kiay thay sirf us aik call k liay kahay thay. infact pehli bar to clear kal ka word bhi use kia tha. ma scenario bhi bata chuka hun ap ko k hamaray bich usi aik call pa argument ho raha tha or manay usi k lia shart lagai thi. Allah dilon k hal khub janta ha or amal ka daromidar niyyat pa ha. mari niyat sirf us call ki thi hamesha ki ni. ma ye bat Allah ko hazir nazir jan ker or oath la ker kehta hun. is surat ma maray case ki kia ruling ho gi? kia ma apnay biwi bachon k sath zindagi guzar sakta hun? mari wife na us din (19 august ko) call ni ki thi. lakin us k bad bat bhi hoti ha or ana jana b hota ha. mari biwi muje boht tasalli or dilasa dati ha k kuch ni hua parishan na hon lakin ma dar chuka hun. muje divorce phobia ho chuka ha. kia koi asi surat ha k ma apnay is haq sa dastbardar ho jaun q k muje hamesha ye dar lagta ha her waqt sochta hun k future ma mari zuban sa ye word khud ba khud nikal jaen gay. Me apna ghar kharab ni kerna chahta. Me apni biwi or betion sa be panah pyar kerta hun ma mar jaun ga mufti sahab plz muje is aziyat sa nikalen. Aap k jaldi reply ka intezar rahay ga. Jazaak Allah.