Talaaq

Showhar "tum azaad ho or me bi azaad hu" kehna

Q: My question is my husband and I have no issues on anything. He just had his dinner and I was taking mine after a long vacation. He went to work so I asked him did you read namaaz today at work then he replied to me (tum azad ho or ma bi azad hon, mujy nahi pasand ya kyn ma ghar per tumhein di khanay ka liya namaz perta hon. He said ma na palay b kaha tha k muj sa mat poucha karo ma nahi chahta k kisi ko pata cha lay meri namaz ka he said na tum maray mamolat mein Bolo na ma tumhary tu I think life achi guzar jaiya gi. I asked ab ya kaya baat thi he said ma na just general bat ki ha phir ma chup ho gayi after few mins he said tumhein kaya howa ha tumhary dimagh mein sirf wohi bat hoti ha. Me baat kaya ker raha hon tumhary mind mein ha hi fat ur he said Aik tu mind ki baat hoti ha na k maray mind mein koi aisi bat ho Mary tu mind mein dur dur tk aisi koi baat nahi so I told u all situation mufti sahib actually I stand myself very toughly boz last few years back my life had different kind of things so am very much sensitive. If I heard this kind of word I thought straight away about other things as my husband explained everything, so the purpose of email is kaya iss sa koi faraq para ha relation per jab I told you about my husband's intention.

Likhi huwi talaaq

Q: Agar husbnd apni wife ko likh karke "as a husband I quit from any kind of relationship with you" jab k zuban se ne kaha ho aur us ki niyyat talaq ki na ho tou kia talaq ho jaey gi?

Talaaq ke baar me sawaal

Q: My daughter was playing us ky fingers per mud lag Gaya wo apnay father Yani mery husband ky pass gayi uss ko kuch thora sa ghussa karo wo Ronay lagti ha Rotay Rotay Maray pass ayi ma uss ka hands wash kar wany kitchen mein ly gayi Mary husband uss ka Ronay per khanay lagay k (sab ko azad ker churay ju merzi karein jawab nerzi phirein sari hi nazak ban gayi hain muhkum bana ha tu kam karein) that's my ques sari detail iss liya likhi ha k pori bat samaj jaiya ab pouchna ya ha k iss sa meaty relation ko tu kuch nahi howa ya mujy akaili ko nahi kaha Bachun ko b sath mein mila ker kaha tu iss sa mery relation per koi faraq tu nahi ha jab k normal hi baat ho rahi thi jazakAllah.

Talaaq ku mullaq karna biwi kisi ku phone karne par

Q: Mufti sahab hua ye tha k 19 august ko mari sister or behnoi na hajj per jana tha. 18 august ko maray parents unhen alwidah kernay un k gar gay lakin kisi waja sa meri wife ko sath ni la ker ja sakay. Ma UAE ma job kerta hun or mari wife gar walo k sath pakistan ma rehti han. 18 aug ki rat ko ma fone per apni biwi sa bat ker raha tha jab mari biwi na ye bat muj sa discuss ki k gar walay muje apnay sath ni la ker gay halan k manay unhen bataya bhi hua tha k muje sath la k jana jab jana ho to ma bhi baji sa mil lu gi. manay apni biwi sa kaha k han tumen sath la k jana chahye tha lakin chalo koi bat ni tum baji k janay sa pehlay fon per bat ker lana. wo narazgi ma bol ri thi k ma fon ni karun gi. muje bura lag raha tha k wo mari bat q ni man rahi is lia ab ma tang a ker us ko keh raha tha k acha thik ha tum cal mat kerna. ab wo kehnay lagi k ma karun gi. manay ego ma a ker us sa keh dia k agar tum na kal baji ko call ki to mari taraf sa tumen talaq ho gi. Us na kaha ke ap jo marzi kahen ma kal fon karun gi or ap ko saza dun gi ap na talaq ka q bola ha. manay dobara kaha k agar tum na call ki to mari taraf sa talaq ho gi, talaq ho gi, talaq ho gi. (Main Allah ko hazir o nazir jan ker or us ko gawah bana ker halfia ye kehta hun k manay ye pabandi sirf usi aik call k lia lagai jo 19 aug ko mari sister ko ki jani thi). Mari biwi na mujhe kafi daraya tha k ma call ker du gi ta k ap ko saza milay lakin us na us din call ni ki. Manay aik din ki pabandi lagai thi is lia ab un dono ki fon per bhi bat hoti ha ana jana bhi hota ha. Kia ma normal life guzar sakta hun kisi dar khauf k bager? Meri do choti batian han ma tara tara ke waswason dar or khauf me hun.

Talaaq dene par sign karna

Q: Mai hospital mai tha or mari biwi ke ghar waly chahty hain hamari divorce hojaay. Phir mai or mari biwi saath rehna chahty hain. Friday say Wednesdy tak mai hospitl mai tha or bed rest per tha. Isi baat ka faaida utha kar mari biwi ko qaid kra gya or mry pas ni any dia or zabardasti us say divorce paper per sign krwa liye or usny khd ni chodna tha per father na pressurise kar k sign liye or phr 6 din bd jb mai ldki k ghr gya toh mjhy us say milny ni dia or mjhy ldki k father na kaha usny tmhy chod dia or usny dsri jagah shadi ki haan krdi phr mjhy yeh sb bta kr sign ly liye gay q k milny tk ki pabandi thi or mjhy jhoot bola gya or phr mari biwi na ksi trhan mjh say contact kra or btaya k sb jhoot hai or zabardasti ki gae mjh say? Toh mujhy jaanna hai ke hamari divorce aisay hogae hai ya ab bhi hum husband wife hain. Please sir jaldi bata dain.

Talaaq ku kisi shakhs se baat karene par muallaq karna

Q: Muje ye pochna tha ke agar shohar apni biwi ku kahey ke tum ne falan shaks ss or us ki beton betion sy bat ki to tum mujh pe talaq ho. Us k bad biwi ye sawal karti hai ke ap un man sy 1 ka k us ka ap ku keh rahey ho husband kehta hai k us ki bat nai ki ku k us sy tum bat kar he nai sakti agar ma na b kaho to es k chand din bad usi shakhs ko kisi doosrey shakhs k mobile sy message bhjti hai. Mera sawal ye hai ke ab es k bad hamen kia karna chaye. Us k bad ham abi tak qareeb nai gye. Mehbani farma kar rahnumai.

Rukhsati se pehle talaaq

Q:

1. Kia husband apni wife sa bger new nikah ke ruju ker sakta ha agar us na rukhsati sa pehlay talaq di ho jab ke intercorse bhi na hua ho or b kuch na hua ho but sirf khalwat sahiha hui ho wife k gar ma? Agar ruju nahi ker sakta to kya foran new nikkah ho jay ga ya iddat ke bad ho ga?

2. Kya ye khalwat sahiha kehlay gi agar husband ye soch ke apnay susral jay k us k mother and father in law gar per hi hon gay lakin jab wo wahan pohnchay to maloom ho k wife akeli han or parents next street ma doctor k pas gay han or un ki wapsi kisi bhi lamhay ma ho sakti ha. husband drying room ma bathay or darwaza khula ho ta k koi bhi aye to seedha andar a sakta ho. is doran wife na namaz e maghrib ada ki ho drying room ma hi or husband k anay sa la ker wapis janay tak wudhu ma rahi ho or husband wife ma sirf normal bat chit k siwa kuch na hua ho na hi niyyat ho (salam k lia hand shake yad ni k kia tha ya ni)? 15 to 30 minutes ruka ho wahan.

3. kya "bus ma tumen talaq da raha hun (meant for dun ga)" kehnay sa talaq waqe hoti ha? ye jumla asay use kia ho jasay ham kisi ko future k lia warning den like ma ye job chor raha hun ya ma falan collage ma admission la raha hun or normal routine ma kaha jata ha aj hamaray gar guests a rahay han etc. or ye jumla discussion k doran bola ho boht bari fight na ho ri ho.

Showhar biwi ku ye kehna "tum mera kaam karo to mera biwi nahi"

Q: Mera aap say aik sawal hai. Please jald answer din. Meray maray husband Main lari hoi main un k panoo per medicine laganay laage thi or gusay main maan nay un say kha ke khud laga layin un ko is baat per booht gusa ayaa or mujay khanay lagay ke tum per lanat ho tumharee sakal per lanat ho abb tum mara kam karoo too mare biwi nahi (ya) abb tum Mara koi bhi kam karoo to mare biwi nahi.plz patayin kia isss baat say talak hony k andaisa haa ya nahi. Un k khany k matabak un k irada talaq k nahi tha or main house wife hon saaray kam kartee hon abb main kia karon. Main nay pahara ha k ager sarat lagaye jay kise Kam Kay Karnay per talaq k hony ke too word talaq k clear honay chaiy plz defined Hamarre sadee ko five years ho gay han or maray doo chooty bachay hin main boht parasian hon plz answer jalde dain.

Jis cheez ke upar talaaq ku muallaq kya gaya, usku bhoolna

Q: Mara sawal ya ha ke agar husband wife se kahay tum na ya kiya tu tumhein talaq ho gai ya ha lakin wife ko ya nahi yaad ke kis bat per kaha tha means isay na ya yaad ha k kaha kam tha ya kaha baat thi tu iss ka liya kaya hukam ha jb k wife ka yaad ker nay per b issay yaad nahi aa araha ha k kis baat per kaha tha ab iger wife na wo chese ker li hoiyi jb k issay yaad nahi tu kya hukum ha?

Showhar "Tu meri biwi nahi" kehna

Q: Main kisi wakq boht muskil main hon plz jaldi answer karain khuch din phaly Mary husband or maray darmian kiss bad per bahas ho rahi thi main nay un say gusay main kha to thik ha app mugy choor dain woo mobile k sath bze thay unhon nay kha think ha chor dia (mujay feel hoa )jab k wo kha rahay thay k unhon nay kha ha choir datay han. magar shak ke waja say hum nay dobara nikha parahia. Ab do din phalay unhon nay larai main main un kay raat ko soonay waket pawoon per medicine laganay lage thi larai ke waja say main nay kha k app khud laga Lain jiss k waja say un ko booth gusa a gay or unhon nay muj say kha tum per lanat ho tumharee sakal per lanat ho or abb tum Mera kam karo to mare biwi nahi ya phir ke anger tum mera  (abb) koi bhi kam karoo to tum mare biwi nahi. Mufti sahab main booth parashan hon mare aik chotee bati or bata han or humaree shadee ko 5 saal ho gay han plz jald say jald answer dain.