Talaaq

Jabran talaaq lena

Q: Mene pehle question kia tha ke mujh say jabran talaq lia gaya hy, or aap ka reply aya k kis tarh ka ap ko force kia gaya tha to wo may abhi is message box may likh raha hn. Sir wo log talaq likh ke aey or kaha ke ap talaq dedo warna tumhari sister ko talak dety hn, que ke meri sister meri wife ke brother ki wife hy or wo ek paper pay likh ke aey or mujhy kaha parho or unpay sign karo, may sir sabh ke saminy chila raha tha jo log aey thy meny unko kaha ke koe dukh ho larki ka ya koe takleef ho to mujhy batae, or may chilata he raha tha ke unho nay kaha akhri bat kahty hn to ap parh ke sign karo warna ap ki sister ko talaq dengy. Phir mene unko bola sub ke saminy meny kaha ap mujh say zulm karhy ho, parh ke sign kardi thi talak waly paper pay. Please reply sir.

Teen talaaq

Q: Hamara aapis may jagra howa ta aur may nay apnay biwi say kaha do baar talaq aur os nay mujhay bataya tum nay mughay teen bar kaha talaq. Ye talaq hay?

Showhar wife ko bolay agar tum apni falan dost ke ghar meri ijazat ke bagaire gayi tu tum muj par haram

Q: Agar husband wife ko bolay iger tum apni falan dost ke ghar meri ijazat ke bagaire gayi tu tum muj per haram ho gi phir wo khud ijazat ke sath janay ko kahay tu koi nikah mein masla nahi ho ga or iger wife sa sawal karay k tum samjti ho ya tumhein lagta ha k tumhein talaq ho gayi ha ma pahlay b app ko mail ki poucha tha app sa ussi doran tention chal rahi thi tu unnu na muj sa poucha ha iss sa tu kuch nahi howa naa unnu na Maray sa sawal kiya tha mufti sahib prashan ho tu app sa rahnumai laina chahti hon sheriyat kaya khti ha maray sawal ka rply kerien Allah app ko jaza day gaa I think app ko mara ques samaj aa gaya ho gaa.

Talaaq ke baare me sawaal

Q: Meri shaadi ko 7 saal ho Gaya hain. Hamari kafi laraiyan hoiyi arguments bhi howay. Aik dafa mary husband nay mujy kaha tha ke agar tum na ya kam Kiya Tu ab aik Tu mujy wo kam nahi yaad or dosra ya b confrom nahi ha k unnu ny ya kaha tha k talaq ho gi ya talaq ha pair aik dafa bola k apni sister k samnay k tum b gawa ho ma issay talaq daita hon Tu unn ki bahan na hath rakh liya ya kafi time pahlay ki baat ha laraiyan hoti rahi aik dafa poucha chaiya doon naam nahi liya kisi cheese ka ma na bolo mujy nahi chaiya Mara dil buht upset ha unn sa baat ki Tu wo bolay Aisa ma na tu kabi ya lafz nahi bola Han ma na tumhein mutnabah kernay ka liya zaror bola kk Karon ga per na ma na kabi kaha ha na hi meri koi neeyat ha un ki sister sa b poucha tu khnay lagi maray samnay ya baat hoiyi thi k Ammi Abu aye in gy Tu faisala kerein ya sari batein 7saal mein hoiyi kuch years ki batein hain ju ab mujy bar bar andher sa pinch ker rahi hain maray husband khtay k tum akaili Muslim nahi hon ma na kabi Aisa kuch bola hi nahi Ty tum kyn kerwany per tuli ho jb k aisi koi baat nahi wo khty hain meri na irada ha na neeyat na hi ma na kabi Aisa kuch kaha tu ab app bateiyein ma kaya karon buht prashan hon mery 2 bachy hain.

Doosri biwi London laane ke lia qanooni kagazaat par pehli biwi ku talaaq dena

Q: Mere husband ne do shadiyan ki hyn or wo london me rehtay hyn onki pehli wife on ke saath london me rehti hy Me onki dosri wife hon or london k qanoon k mutabiq ek aadmi ek shadi kar sakta hy Ab mere husband mujhay b london bulana chahtay hyn lekn is k liye onko apni pehli wife ko partner show karwa kr papers pe sign krna hoga k wo apni partner ko chor chukay hyn or phir wo mere sath marriage show karwa saktay hyn Kia is tarah pehli wife k sath separation k papers sign kar k sach me divorce ho jayegi? Plz is maslay ka hal bata den Me pakistan rehti hon or apnay husband k paas jana chahti hon

Me tum ku faarigh karta hu

س: میں نے اپنی بیوی کو فون پر غصے میں دو بار یہ لفظ بولے ہیں کہ میں تجھے فارغ کرتا ہوں مطلب کہ فارغ کردونگااورایک باریہ کہامیں نے تجھےآزاد کردیا ہے. اکیلی جگہ پر تو باربارفون کاٹ ری ہے نہ اپنی ماں سے یا اپنے باپ سے کہنا اب آرام سے تیری شادی کرائیں عدّت گزارنے کے بعد وہ یہی چاھتے تھے نہ کےتجھےطلاق ہوجائے. مگرمیری نیت بیوی کوآزاد کرنے کی نہیں تھی. میں اسے ڈرانے کہ لئے بول رہا تھا کہ وہ سدھار جائےاوراپنے گھرواپسی آجائےمیری بدنامی نہ بنائیں لوگوں میں.اگرمیں نےاسےطلاق دینی ہوتی تومیں اسےطلاق والےالفاظ کہتا. برائے مہربانی مجھے بتائیں کےطلاق ہوئی کے نہیں میں کبھی یہ سوچ بھی نہیں سکتا کے میں اپنی بیوی کو طلاق دونگا اس لئے میں نے یہ الفاظ بولے میری سمجھ کے مطابق ان الفاظ سے نیت ہونے پر طلاق ہوتی ہے. مفتی صاحب جواب جلدی دیجئے گا