Talaaq

Khalwat-e-saheehah se pehle talaaq aur iddat

Q: Mera nikaah huwa. Doosra din mere shohar Australia ja rahe the to jaane se pehle mere ghar aaye the sab se milne. To thori der me apni shohar ke sath drawing room me bethi thi magr darwaza khula tha aur koi bhi asakta tha. Mere shohar ne mujhe kiss kiya aur galay se lagaya magr sex nahi huwa hamare beech. Phr wo chale gaye. Ek saal bad mere ghar walo ne mere shohar ko talaq dene ko bola unko sahee nahi pata tha ke talaq kaise di jati he to unhone mujhe sms par likha AP azaad ho azadi azadi azadi magr unhone bola meri talaq ki niyyat nahi thi wo neend ki goli khai huwi thi or subah unko yaad bhi nahi tha. Depression me neend me huwa phir ghar walo ne unhe talaq ka tareqa bataya aur unhone mujhe sms me aur voice message par talaq di ke me falan tumhe talaq deta hu esse teen bar haha voice message par aur sms par likha.

Ab ye pochna chahati hu ke kia mujhe iddat hogi? Aur hum wapas nikaah kar sakte he bagair halala ke? Kiya 3 talaq hogayi he? 

Biwi ko kehna "agar tu gai naraaz ho ke to tujhe teen talaaq"

Q: Meri kisi baat pe biwi se jhagrra hogaya aur us waqt meri behn aur behnoi bhi mojood the. To meri biwi ne apni walida ko call kar li, to mene shadeed ghusse me kaha k agr tu gai naraz ho k tw tujhy 3 talaq, phir meri niyyat sirf dhmaki dene ki thi, jis par mene use jaane se pehle maafi bhi maang li ke jo mene kaha us pe mitti daalo, to us ne jaate huwe kaha ke mujhe abhi jaane do baad me aa jaon gi, to mene apni khushi se jaane de diya. Kya ye talaq salsa hoi? 

Talaaq-e-baain ke bad talaaq dena

Q: Kiya talaq e baiin (agar tum ne raat tak mobile mere ghar na bhaja to tum meri taraf se aazad ho) ke bad koi 2/3 month ke bad voice message par di gayi talaq (me apni puri hosh o hawas me tum ko taq he/phir 1 din bad same message jis me kahi me apni hosh o hawas me tum ko talaq he talaq ka word koi 7, 8 martaba use kiya) se mukammal talaq ho jati he ke nahi?

Teesri haidh khatam hone par rujoo

Q: Mene doosra nikaah kiya huwa he. Mene ghar wale ko nahi bataya, sirf apni pehli biwi ko bataya. Wo nahi maan rahi thi. Kuch aise haalat huwe ke mene us se ek talaaq de di. Wo apni mekay chali gayi. Us ke baad mene us se bohot manaya he ke ghar aa jao. Wo kehti he ke meri sulah he lekin me abhi nahi aana chahti is baat ko 3 month ho gaye he. Me ye pochna chahta hu ke kiya ek talaaq dene se 3 maah tak ruju na kiya jaye to talaaq pakki ho jati he ya nahi? Jab ke meri wife keh rahi he ke hamari koi larai nahi hamari sulah he.

Tafweez-e-talaaq

Q: Aksar larai jhagre me me apne shohar se talaaq ka mutalaba karti thi to wo kehte the ke tum bol me kehti thi nahi, mere bolne se kuch nahi hota, aurat ke bolne se nahi hoti to wo kehte the nahi aurat ke bolne se bhi ho jati he. Me kehti thi nahi aurat ke bolne se nahi hoti to wo kehte the tum bol do tumhare bolne se bhi ho jaye ge. Phir larai khatam ho jati thi phir wapis kisi din jhgara hota tha wapis same alfaz hum istimaal karte the to ab jitni bar bhi unho ne yeh alfaz kahe to talaaq ka haq har bar temporary tafeez huwa ya nahi? Kiyun ke unho ne kabhi bhi hamesha ya jab chahe ka lafz istimaal nahi kiya tha to har baar talaaq ka haq temporary tafeeez huwa ya na?