Talaaq

Biwi apne shohar se "ma tumhe talaaq nahi de sakta" kehne se rokna

Q: Aik jhagre me me ne talaaq ka mutalaba kiya ke aap mujhe 3 lafz bol ke talaaq de de. Is ke jawaab me mere shohar mujhe kehne wale the ke me tumhe talaaq nahi de sakta lekin jaise hi unho ne kaha "ma tumhe talaaq" me ne un ke mu pe zor se haath rakh ke mu band kar diya lekin unho ne mera haath hata kar apna jumla pora kiya ke "nahi de sakta" to kiya koi talaq hui mera un ke mu par haath rakh ke sentence rokne se? 

Biwi ko talaaq ka haq supurd karna

Q: Ayk moqe per me ne apne shohar se kaha aap mujhe chor den or wo teen alfaaz bol de to mere shohar ne kaha ke me nahi bolta tum bol do tumhare bolne se bhi ho jaye gi to kia talaq ka haq mujhe permenently tafweez ho gaya ya temporary? Ya sirf us place tak he jaise he place change hui right bhi loose ho gaya?

Aurat ka talaaq dena

Q: Agar koi biwi larai jagre ma apne shohar se kahe ke mujhe nahi rehna aap ke sath aap mujhe chor de or bol de wo 3 alfaz. Shohar biwi ko talne ke liye kahe me nahi bolta tum bol do. Shohar ko aisa guman ho ke jis tarah shohar ke bolne se talaq ho jati ha isi tarah aurat ke bhi bolne se ho jati ho. Isi ghalat fehmi me wo apni biwi se kahe ke tum bol do or biwi kahe k nahi mere bolne se kuch nahi ho ga aap bol de or shohar kahe nahi tumhare bolne se bhi ho jaye ga kyun ke aisa lagta ho ke aurat ko bolne se ho jati ho. To kiya talaq ka haq tafweez ho jata he aurat ko aisa bolne se?

Shohar apne biwi se kehna "Me tumhe kal tumhare ghar chor dunge" se talaaq

Q: Mere shohar se larai hogai thi. Me unki baat nahi sun rahi thi to unhe khudse door kar rahi thi. Me naraz thi unse to unko gussa agaya or unhone kaha ke me tumhe kal tumare ghar chor dunga to uspar mene bhi gusse me bola ke phir aenge nahi lene to unhone bola pata nahi... to aap mujhe ye bataye ke is muaamle me talaaq to nahi hoti na? Mere shohar ne kuch talaaq ki niyyat se nahi bola tha.