Naseehat

Pareshaani kis tarha dur hogi

Q: Mey bhut pareshan hu mere shauhar ne naya mechenic shop ka dukaan open kiye hai magar do maheeno me unhe zyada kuch umeed nahi mili wo roz namaaz padhte hai Allah se dua karte hai aur halaal ki rozi chahte hai magar unhe roz ki rozi nhi mil paa rhi please suggest some dua aur something then Allah humari har galti ko maaf karke hume halal ki rozi rizk ataa farmaye.

Nazr ki hifaazat karne me dushwaari

Q: Me bahot koshish karta hoon nazro ki hifazat karne ki magar tanhai me nazro ki hifazat nahi karsakta. Hamesha duwa karto ho Allah mujhe nazro ki hifazat ki taufeek ata farma aur apne gunaho se mafi mangta rehta hoon, aur jamat ke sathiyo ke saath rehne ki koshish karta hoon, gasht aur taleem me sath deta hoon aur ghar me bi rozana taleem hoti he, aur weekly markaz jane ki koshish karta hoon, aur ulema (Tariq Jameel Sab, Saad Sab, Mufti Taqi Usmani, Zulfekar nakshabandi Saab etc) ke bayan bi sunta ho pir bhi sab logo ke darmiyan nazron ki hifazat hoti magar akele me karna bahot mushkil hota he. Kuch hal bataiye. Meri umar 26 years he shadi ke liye rishta dekhrahe he, ache rishte ke liye duwa kariye mufti sahab.

Waswasa

Q: Mein mujay Allah owr Rasool ka bary mein buhut weswsay atay hein lakin ab mery sath ya hota ha ko jo weswsa ata ha mujay wehum ho jata ha mein nay asa khud kalami mein keh dea ha yad kernay per kuch yad nahi ata ka asal mein mein nay asa kaha ha k nahi pleez mujay batain es sa meray eman owr nikha per to koi aser nahi hota

Biwi doosri shaadi se mana' karti

Q: Meri shaadi ko 11 saal hogye na. Humari koi aulad nhi hai. Mere sab behen bhai ko aulad hai main apni wife ko bolta hun mujhe dusri shadi karne do woh mana karti hai bolti hai agr tumne ki toh main khud ko mardungi. Kasam khati hai karne nhi deti woh shadi mere ammi papa tayyar hai karwane ko woh mana karti hai bas....main bhi ab nhi chata iske sath rehun...mujhe kya karna chahiye

Khaawind apne biwi ko nahi chaahta

Q: Meri shadi 15may 2016 ko singapore mein hue rishta sirf tasveer dekh k hi meri sas ne kar diya merey bhai singapore mein rehte hain mery jane k dosre din hi shadi fix ho gai mery bhai jab k time mang rahe they shadi se phele mujhe hair fall ka masla tha jis ki main pakistan se treatment le rahi thi isi duran shadi ho gai main scarf phenti hn per mery ball hjarne ki wajha se itne ghane nahi they main apne sasural walon k same bina scarf k gai aur un logon ne dekha bhi shadi k bad main 3din aur 4 ratein apne sasural main rahi mery shohor ne mujhe touch nahi kiya unhone shadi k dosre din mery liye medicine mangwain aur kaha k bemari koi bhi khud nahi hoti tum theek ho jao gi main pori support karon ga un ki maan shadi wale din se change ho gaein thein mujh se rawaya theek nahi tha shadi k 4they din mery shohar ne mery bhai ko bula k mujhe le jane ko kaha aur bola main ne is ko touch is liye nahi kiya kyun k jo medicine ye lati hai us k side effects hain aur ye maan nahi ban sakti bhai ne bohat samjhaya us p meri sas ne kaha ham ne fatwa liya hai is ko talaq dene mein koi gunnah nahi main apne shoher ki dosri wife hn wo phele bhi ek pakistani ladki ko divorce de chuke hain mery bhai ne singapore k bare hospital mounth elzibat se mera pora checkup karwaya doc ki report k mutabik medicine k koi side effect nahi they aur mey ball 4 month mein 80 % recover ho sakte they is report k bad mery shoher ne kaha k ye theek bhi ho jae to mujhe qabool nahi unhone na koi call receive ki na msg ka reply diya mera pass cancel karwa k divorce fill kar di shariya court ne ham dono ko bulaya councilor ne un ko bohat samjhane ki koshish ki lakin wo mujhe best of luck bol k uth gae main pakistan a gai aj 9 month guzar gae case abhi tak pending hain mery ball bilkul theek ho gae hain per wo log ab ye bolte hain k main phele se talaq shuda thi unhone pata karwaya hai bhai k pass itne paisey nahi k wo wakeel k zarye case larein meri ammi in halat mein chati hain k wo koi munasib rishta talash karein sari hakikat bata k aur jab ye mamla khatam ho to shadi ho sake meri age 31 hai kiya wo in halat mein mery rishte ki koshish kar sakti hain .JazalAllah

Shaadi shuda Hindu larki se naa jaaiz ta'alluq rakhna

Q: Ek larki hai hindu shaddi suda wo larki apne pate k sath khush nahi Hai. Larki apne pate ko devors dena chata hai. Magar pate dena nahi chata. Or wo larki abhi mujhse shaddi kara chata hai. Or Islam ve qubhul karana chata hai. Or Islami tarekha k sath shaadi karna chata hai or mein muslaman hu.. Abhi mein agar us larki se shaddi karu to keya uska jo hindu larka k sath shadi hua.. Devors na lake shaddi karskata hu.. Islam keya kehata hai

Zina se bachne ka tareeqah

Q: Mera sawal hai ke mere bewi ke khwahish muj say kam hai. Ham dono mai sex ki waja say jagde problems zyada hai our mere zarurat phora nahi karte to mai phir zina ke taraf mayel ho jata ho. Mujay kia karna chahiya ta ke ma zina say bach jao our apni bewi say zarurat pore ho.

Be wafa showhar

Q: Meri shaadi ko 7yrs ho gaye hai Alhumdulillah do bachhe hai Mere shauhar ne mujhse love marriage kiye the leki shadi ke teen saal baad se unka extra marital affair chalu hai mujhe maalum padne k baad unhone kasam khaye the k usko chhod denge lekin sab k samne wada karne k baad bhi unhone usko nahi chhode hum sab ko yakeen dilaye k chhod diya lekin dubara meine unko uske sath pakdi toh ab kehte hai k mujhe usse shadi karni hai woh meta koi haq ada nahi karte chaar saal se berozgar hai Mei kaam pe jaati hun ghar aur bachhe sab zimmedari mei uthati hun lekin mere shauhar mujhse ladte rehte hai aur mujhe sab k samne aksar zaleel karte hai us ladki ko chhodne ki baat karti hun toh sab k saamne meri galtiyan nikalte hai maarte bhi hai mujhe samjh nahi aata mei kya karun.Meine unko mohabbat se bhi manane ki koshish ki aur gusse se bhi lekin woh usko nahi chhodte.pls bataye mei kya karun woh mujhe talaaq dene bhi tayyar hai Mei bahot aajaz aa gaiee hun meri ammi bhi nhi hai na koi ghar hai na koi mujhe sahara dene wala .kya mei inse talaaq le lun.Meu Allahbse bahot dua karti hun k mera ghar tutne se bach jaye mere shauhar usko chhod de lekin kya pata Allah ko kya manzoor hai

Waalidain ki khidmat kown kare, bahu ya bethi?

Q: Sir kia agar aik char bhai ak walida or aik bahan or aik shadi shuda bhai or us ki bivi rehti ho to kia sara kam sir ghar ki beti ko hi karna chahiye agr bhabi ka sirf apna or apnay husban ka kam karna banta h usi family ma rahaty huay us ka koi kam karna nahi banta us family or ghar ka jab kus ka shohar yani hamara bhai earn bhi na karta ho agar us se kam karayen to kia ye us k sath ziadati ho gi kia ye gunah h? Or earn karta ho to bhi najayz h . Kia ghar ki bati ko zayada or bahu ko thora kam dena chahiye? Plz har baat ka ans kijiye ga.jazzakAllah