Q: Mera masla shadi ku 5 se 6 saal hogaye. Awlaad nahi he uska shohar or sasural walay shuru se sahi nahi hai asal mai shadi ka istikhara sahi nhi tha phr bhi shadi kar di gayi. Ab surat e haal ye he ke baat baat pe bezati ki jati he talaq ki dhamkiyan dewar tak izzat nahi kartay lekin me ne 5 saal se sabr kiya hua hy apne maikay walo tak ko nhi bolti meray shohar ki dusri shadi ka socha ja raha hy jab k mera ilaaj tak nhi krwaya jata aulaad k liye ek mahina ilaah hota hy phr saalo bhool jatay hy zameeni 0 pe zameenay li ja rhi hy lekin ilaaj k liye paisay nhi or ilaaj nhi. krwatay mera sabr jawab de gaya hy dil bhi bezaar hogaya hy her cheez se. Please mujhay koi raasta dikaye. Reply soon. Please reply in sab ka walidain ko b pata hy. Wo kya kahaygay ghr bithanay ke dar se sabr ka kehtay hy. Plz kitab khol batye ke koi bandish aulaad ki to nahi he. Kiyon ke humaray khandan mai aisa bohot hota hy. Help please koi raye de achi.
A: Ghayb ki baate to khudaa hee jaanta he. Aap khuda ki taraf rujoo kare. Har namaaz ke bad يَا سُبُّوْحُ ، يَا قُدُّوْسُ ، يَا غَفُوْرُ ، يَا وَدُوْدُ saat martabah parhe. Allah Ta`ala ghar waalo ke dil ko aapki taraf mutawajjih karle narmi aur mahabbat ke saath.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: