Tahaarat

Peshaab ke qatre

Q: Jab peshaab karke me baahar aata hu to lagta he thora sa peshaab unadarooni karpro me hi ho gaya. Haalake me sahi se poora peshaab karke uthta hu phir bhi ho jaata he. Kya me napaak ho jaata hu? Kya mujhe nahaane ki zaroorat he?

Peshaab ke qatre kapre se dhona

Q: Me jab bhi Hindustaani baitul khala istimaal karta ho to istinjaa karte waqt baitul khala me girne wale paani ke chand qatray ur kar maqad ke dono taraf par jate he. Kya ye paani ke qatre najaasat-e-ghaleeza he ya najasat-e-khafeefa aur en ko dhona zarori he ya ne dhoye to shariat me maaf he. Har baar Istinja karte waqt mujhe baar baar baitul khala se paani ke qatre ur kar parne ka shak parta he. Jis ke wajah se aadha aadha ghanta istinja kartay huwe lag jata he. Baar baar en qatron ko dhota hoon phir paaki ka yaqeen nahi hota.

Napaaki ka shak

Q: Jab hum tanki ke neeche najis kapre dhote huwe us pe haath lagate he to kya wo napaak ho jaati he aur uspar paani dalte he wo paani neeche behta paani bhi aakar girta rehta he or hum us tanki ke upar bhi paani dalte rehte to paani tapkna band ho intizaar karna zaroori he kyunk tanki basin ki nahi he aam he jo tori kehte he gharo me hoti he.