Tahaarat

Peshaab ke qataraat har wat nikalna

Q: Me ayk mazoor hu. Muje peshaab ke qataraat hamesha tapak te rehte he. Mera sawaal ye he ke jab me istinjaa karne ke baad qatro ko paani se dhowta hun aur usse tissue se saaf karleta hun, lekin meri bimaari ki wajah se qatra hamesha nikalta rehta he aur istinja ke baad, usse paani se dhone ke baad bhi qatra fowran nikal aata he, to aap muje bataye ke me istinjaa karne ke baad unhe dhone ke baad keyse saaf karu?

Humbistari ke ba'd qataraat nikalna

Q: Muje ek pareshaani he humbistari karne ke baad jab ghusal karta hu to doraane ghusal ager qatra nikal jae to dobara ghusal karna hoga? Baraaye meherbaani koi wafeeza bataen jisse peshaab ke qatre band ho jaen aur humbistari ke baad sharamgaah saaf kerta hu to phir bhi kafi der tak geela hota he. To dorane geelapan tapakte huwe ghusul kiya ja sakta he?

Peshab ki qataraat

Q: Mera ek bahut bada problem hai ke mujhe peshab ki jaga se dhat jaise nikal ta hi rehta hai peshab karne k baad bhi aur peshab na karne k phele bhi mein hamesha paanch waqat ki naamaz ka paband hoon meri ahe takleef kaise hal karoon jab bhi apni peshab ki jaga dekh ta hoon tar jasi dhat nikal kar rehti hai mujhe naamaz ke padh ne k liye meine ek tarkeeb bani hai k jab bhi peshab karne k baad apni peshab gha ki nook par ek insulation tape jo electric wire ko joint karne k baad laga te hai woh thodi cut kar k usme thodi cotten ki royee laga leta hoon ta k kapra par aur bahar na nikal paye aise is liye karta hoon k meri naamaz khaza na hojaye aur naapaki hone bachoon kya aisa karna jayez hai?

Ghusle janaabat

Q: Kiya ghusle janaabat ke baghair aap kuch kha pee sakte hai? Kiya ghusle janaabat farz he? Online quran parne ka liye wudhu zuroori he ya nahi? Kiya qadam dhowna online quran parne ke liye laazim he?