Ghusal ke dowraan qiblah ki taraf ru karna
Q: Ghusal karte waqt agar kuch lamhe ke liye rukh kible ki taraf hojaaye toh kya ghusl theek maana jaayega?
Q: Ghusal karte waqt agar kuch lamhe ke liye rukh kible ki taraf hojaaye toh kya ghusl theek maana jaayega?
Q: Kiya aesay kapray jin par napaaki waaly kaprey dhote huwe cheenten pargaye ho un kapron ko bhi aesay hi paak karna ho ga jo sharee tariqa he ya sirf dho le? Me ne aap se pucha tha ke agar napaak kapray ko 3,4 bartan me pare paani se baari baari nikaal liya jaye to kiya paak ho jayen ga. Aap ne farmaya istara shak rahta he paani ko upar se daal diya jaye. Me ne ghar walon se kaha ke paak karne ke tareeky hi se paak ho ga. Unho ne kaha ke teen dafa paani se nikaalne ke bad paak hojate he. Itni dafa jab paani se nikaal liya jaye to konsi napaaki baaqi reh jaati he? Yehi baat me sowchti hu jab itni baar paani se nikaal liya jaye to phir bhi napaaki kesy door nahi hogi khaas kar aesy kapry jin par napaaki waly kapray dhotay huay sirf chheente pare hun. Aap baraaye memerhbaani rehnumai farmaye? Kiya haiz o nifas ke dino me pehne jany wale kapray bhi shar'ee tariqe se paak karnehonge jab ke un par khoon ya napaaki na lagi ho? Kiya hari shalwaar pehen sakte he agar sili gai ho?
Q: Mera pehla sawaal ye he ke jab me sone ke liye aankhen band karti hun tabhi mujhe kuch galat khayaal dikhten hai aur geela pan mahsoos hota he. Meri neend tabhi khul jaati he. Ye khiyaal mahaz 10 ya 30 seconds ke hote hain. Us waqt poori tarah neend mein nahi hoti hun aur ye sab sone ki shuruaat me hota hai.
Q: Agar ek ladki ek ladke se jinsi chat kare aur usko us dauraan rutoobat nikalta he, toh kya usse ghusal karna wajib he? Aur agar wajib hai uski kya niyyat hogi ghusul ki?
Q: Agar napaak kapre istarah dhoye jaye ke 3,4 bartano me pani ho un sab panion se baari baari nikaal lia jaye to kapray pak ho jaenge? Ya paak karne ka khaas tariqay se hi paak hoga jese behte paani me dhona ya baalti me daal ke paani par haath rakh ke thora behne dena? Tafseel se bta den.
س: جناب عالی میں اپنے اس مسئلہ کی وجہ سے بہت پریشان ہوں اگر ہو سکے تو میری راہنمائی فرمائیے۔ اللہ پاک آپ کو اس کی جزا دے۔ جناب عالی میرا مسئلہ یہ ہے کہ میرا کام زیادہ تر کمپیوٹر پہ ہوتا ہے جس کی وجہ سے زیادہ تر کرسی پہ بیٹھنا پڑتا ہے ۔ جناب عالی جب میں فارغ بیٹھتا ہوں تو مجھے ایسا محسوس ہوتا ہے کہ جیسے پیشاب کے قطرے نکلتے ہیں حالانکہ جب میں مصروف ہوتا ہوں تو ایسا محسوس نہیں ہوتا اور نہ ہی جب میں کھڑا ہوتا ہوں اس وقت کچھ محسوس ہوتا ہے۔ جب میں فارغ ہوتا ہوں تبھی اسی وقت ایسا محسوس ہوتا ہے اور اس کی وجہ سے بار بار بیت الخلاء جانا پڑتا ہے لیکن وہاں جا کے دیکھتا ہوں تو سارا حصہ خشک ہوتا ہے بعض دفعہ ایسا لگتا ہے کہ کہیں کوئی ہلکا سا کوئی قطرہ ہے جو کہ واضح نہیں لگتا اتنا۔ پھر میں سوچتا ہوں کہ یہ جو پہلے پانی سے دھویا تھا شاید اسکا کوئی قطرہ ہے ۔ جناب میرا سوال ہے کہ ایسی صورتحال میں میں نماز کیسے ادا کر سکتا ہوں اور کیا مجھ پہ غسل واجب ہے۔ برائے مہربانی مجھے اسکا علاج یا جواب جلدی ارسال فرمائیے آپ کی بہت نوازش ہوگی ۔ اللہ آپکو اسکا اجر عطا فرمائے گا۔ مجھے آپکے جواب کا شدت سے انتطار ہے ۔برائے کرم میری راہنمائی فرمایئے۔
Q: Me peshaab ke qatro se kaafi pareshan ho chuka hu. Me samaj hi nahi paa raha hu ke me mazoor hu ke nahi. Mene aapka mazoor ka fatwa padha he lekin me abhi bhi bahot uljan me hu. Kyunke jab me nanga rehta hu tab qatre har 2 minute me aate he aur jab me kapre pehne rehta hu tab qatre aat ya das ya tera ke choowda minute me bhi aa jaaya karte he. Aur sab se bara masla ye he ke qatre jab nikalte he to muje pata nahi lagta. Ab har baar me kapre nikaal ke nahi dekh sakta. Me bohot pareshaan hu.
Q:
1. Wudhu tootny ki ayk waja reeh ka khaarig hona he lekin mera ayk masla he ke thori thori gher mahsoosana si reeh guzarti mahsoos hoti wudhu ke doraan bhi namaaz ke doraan bhi or in ke ilaawa bhi me ye farq nahi kar paati ke reeh kharij hui he ya wasy hi guzri he uthte bethte bhi esa hota kabhi to dobara wudhu kar leti hun lekin phir esa hi hota he kabhi me nahi karti kyun ke muje yaqeen nahi hota ke reeh ya hawa jism se hi kharij huwi he jab yaqeen nahi hota reeh ya hawa ke khaarij honay ka me dobaara wudhu nahi karti or namaaz parh leti hun lekin pareshaan rehti hun ke pta nahi ye saheeh he ke nahi me bohat tention me hun. Baraaye meherbaani rehnumaai farmaye?
2. Me ne islaami behno ki namaaz madani channel waalo ki kitaab me parha he ke awrat ke agay ke maqaam se jo rutoobat be-aamezish khoon nikalti he wo paak hoti he mere ayk safed maadda niklta he muje ye nahi pata ke wo yahi he ya koi or maadda he mujhe raasta dikaaye? Mani me aur is me kese farq kar saktay he agar wazan uthaane se safed rutoobat nikle to kiya wo yahi rutoobat he jo paak he mani kiyun ke mani bhi wazan uthany se niklti he aur wo rutoobat bhi? Aur kabhi kabhi urethra ke paas tari se masoos hoti he geelapan nahi wo bhi yaqeeni tor par nahi to kiya esy namaz parh saktay he?
Q: Agar mazi kapro aur jism par lag jaye is se kapra aur jism napaak ho jaata he ke nahi?
Q: Mera sawaal ye he ke sardi ke dino me jild rookhi hone ki wajeh se hum hath, peyr ya chehre par lotion ya cream ya teyl lagate he. Kya isse wudhu nahi hota? Agar wudhu ho jata he to kya is se cream ya teyl ki chiknaahat ya smoothness ko dho-dho kar bilkul khatm karna hoga ya jild ko bilkul rough karna hoga? Ya sirf pani ko chehre ya haath par malne ya ek baar dhone hi se wudhu ki adaaigi ho jayegi. Kya chiknahat ko bilkul khatam karna zuroori he?