Kiya Allah ke Rasool nafs se paak he?
Q: Kiya Allah ke Rasool nafs se paak he?
Q: Kiya Allah ke Rasool nafs se paak he?
س: جناب عالی کل رات میری اور میری بیوی کی کسی بات پر بحث ہو گئ اسی بحث میں میں نے اسکو پوچھا کے تمہیں اللہ پر بھروسہ نیں ہے وہ بھی غصے میں تھی اس نے بھی نعوذ باللہ بول دیا کہ نیں ہے براۓ مہربانی میری رہنمائ کیجیے
Q: Mere ma sunni he lekin shiya logo me pali bari he. Walid bhi sunni the magr unho ne bhi kabhi majlis me jaane se inkar nahi kiya hume. Aaj bohat se log mujhe ye kehte he ke shiyao ki majlis me jana gunnah he. Aap please mujhe Quran o Hadees aur Islam ki roo se saheeh taleem bataye ke kiya me majlis me ja kar ab tak gunnah kamati rahi hu?
Q: Doodh agar gas par jal ke sukh jaye to kiya ye sign he ke ghar me pareshani aur tangdasti aane?
Q: Mujhe ye maloom karna he ke mere husband ghusse ki halat me aise lafz bol dete he jo bohat ziyada gunah he jaise mujh par ghussa ho to kehte he tumhari namazo par lanat ho maaz'Allah.
Mujhse kisi ne kaha ke ye kufria kalimat he aur aise shakhs ke sath rehna jaiz nahi. Kiya aise kalimat kehne wala ke sath rehna jaiz he?
Q: Mere zehen me sawal aaya ke hum jab sajde ki baat karte hae to kiya hamara sajda Allah ke liye hota he ya hum literally Allah ko sajda kar rahe hote he jis tarah farishto ne Adam (alaihis salaam) ko kiya tha?
Q: Me ne bachpan se ab tak bohot billia paali he magar kuch time se ghar ke halaat bohot kharab chal rahe he to koi bhi billi ghar me nahi tikti thi bhaag jaati thi ya apne aap mar jaati thi ya ghar chor ke dusre ke ghar rehne chali jati thi. Abhi 2 mahine pehle bhi ek billi ka bacha pala tha kuch din baad wo bhi bhaag gaya aur aaj achanak se wapas aagaya. Usne sab ko pehchaan bhi liya. Aap mujhe bataye ke ye ache ki nishani he ya kuch ghalat?
Q: Agar biwi ghusse me ya laraai me apne shohar ko kaafir kahe to kiya nikaah toot jata he?
Q: Ek sawal he ke kuch aqeedatmand Shaikh Abdul Qadir Jilani (rahmatullah alaihi) par 'shahbaz-e-lamakni' ka lafz mansoob karte he, aur jawab me kehte he ke is lafz ke istilaahi aur lagwi maani alag he wagaira, agar kisi ke zaat se aisi sifaat ko mansoob karna gunah he jo us me he hi nahi to kiya un aqeedatman par ye kehna ke wo gumrahi me he, kaisa?
Q: Kiya Aap sallallahu alaihi wasallam ko ghaib ka ilm tha?