Khawateen ke Masaail

Haidh dus din se ziyaadah hojaana

Q: Mera musla ya ha mujay haiz (menses) 7 ya 8 den atay hain lakin es bar den zeada ho gay mein na tukrebun 12 ya 13 den bad gusul ker leya owr numaz perhnay lagi owr gusul ka panjwein (5) ya chatay (6) den mein na umrah kia es doran mujay liquid ka sath hulki se bleeding kisi wequt ho jati thi kia mera umra sahi ha muj per koi gunah ya kufrah to nahi. owr mein na jo namazein owr naful kahna kabah owe musjed nubvi mein adda keay sahi hein muj per koi guna to nahi

Sufed discharge

Q: Mujhe basa auqaat aisa discharge nikalta hai jise ghaur se dekhne par hi maloom hota hai ke ye bahut halka sa peela hai, yaane mai agar sarsari dekhloo aur zyaada ghaur o fikr na karoo to wo safed ya transparent hi dikhta hai.

1. To mujhe is discharge ko safed shumar karna chahie ya peela?

2. Mujhe bleeding bhi hoti hai to phir chunke ye discharge bhi hota hai to phir haiz shumar kise karna chahie?

Umrah me haidh aana

Q: Mein umra kernay gayi mery haiz (menses) ka den 7 ya 8 houtay hein lakin is bar mujay kuch khrabi ki waja sa zeada din date ayi mein na barwein (12) den gusul ker ka namaz perh li mein na Wednesday ko gusul kia or Monday ko umra kia es doran mujay dischaj ka sath hulka sa blood kisi wequt ho jata tha

1. Mujay pochna ha ka es halut mein mera umra sahi ha muj per koi kafarah to nahi

2. Aur jo mein na Musjid Nabi aur Haram Makkah mein namaz aur naful adda ki sahi ha muj per koi gunah to nahi

Nifaas ki muddat

Q: Mera pehla baby hai. Mai nifaas me hu. Mujhe 20 din me nifaas stop hua phir 39 ve din me mujhe haiz aagaya... maine 40 days me nifas ka ghusl karna tha ab uske ek din pehle haiz aagaya jab ke nifaas ka ghusl nahi utra... ab kya hukm hai?

Iddat ki muddat

Q: Meri ammi ki iddat 4month 10din ke bad khtam ho jayegi aur iske bad mere cousin ki shadi hai to kya wo uski shadi me shamil ho sakti hain aur job kar skti hain? Kuch logon ne humse kaha k iddat ke 1sal bad hi karein kuch?

Iddat me kiya nahi karna chaahiye?

Q:

1. Agar koi ladki sari zindagi widow rah gyi to kya kya nhi krna chahiye?

Colourful dress

Mehndi ka use hand me ya hair me lagana

Makeup krna

Ye sab nhi krna chahiye kya hamesha white dress pahan na chahiye?

2. Mai nikah ki ring pahni hui hu iddat me ye bhi mana hai? 

3. Mujhe sb logon ne kaha hai k tumhari rukhsati nhi huyi thi to iddat ki koi zarurat nhi.