Qasam owr mannat

Bila zaroorat qasam khana

Q: Mujh ko qasam khane ki beemari he. Wo bhi ziyada tar akele me aur cricket match dekhte huwe... matlab meri qasam ke alfaz ziyada tar isse hote he... Allah ki kasam agar aaj Muhammad Aamir ne 5 wickets le lee to Pakistan ye match jeet jaye ga. Kabhi kabhi ye baat puree nahi hoti. Ye bataye aisi qasam par kaffara ho ga ke nahi?

Mannat karna ke nafl namaaz parhe ga

Q: Hum logo ne naye ghar me shift hona tha kuch rukawatein aarahi thi. Mene dil me sochaa ke jab ghar me shift howe ge 10 nafal namaaz parhon gi. Bas Allah paak assaani farma dein Allah ka fazal aisa huwa ke hum shift ho gaye aur sara din thakawat ho gayi or wo nawafil mene os din kuch adaa kiye or kuch bad me pooray 10 os din nahi kiye to kia ye theek hai? Nawafil ka sochty huwe mene ye nahi socha tha ke me osi din parhane hein mene.

Aise halaf karna ke na mahram se baat nahi kare

س: مجھ پر ایک نا محرم نے تحمت لگائی کہ تم کسی اور سے رابطے میں ہو صرف اس وجہ سے کہ تم مجھ سے اب بات نہیں کرتی ہو. مجھے بہت دھمکیاں دی گئ ذہنی اذیت دی گئ کہ اب تمہاری منگنی توڑوا دوں گا تمہارے ماں باپ کی عزت خاک میں ملاؤں گا تمھاری شادی نہیں ہونے دوں گا میں نے اس ڈر سے حلف اٹھایا اور میں سچی تھی کی کسی سے بات نہیں کی.. اس نے کہا اک اور حلف دو کہ کبھی کسی لڑکے سے بات نہیں کرو گی میں بہت ڈری ہوئی تھی یہ بھی حلف دے دیا ہے.. مگر میں اک پروفشنل لڑکی ہوں کام کی بات بھی کرنی پڑتی ہے پوچھنا یہ ہے کیا ایسا حلف جائز ہے اور اگر کبھی ضرورت کہ وقت کام ہو یا بات ہو جاۓ تو یہ حلف کا گناہ ہو گا کیا اس کا کوئ کفارو ہے اس حلف سے آزاد ہونے کا

Shirk ka wada lena

Q: Agar insan se wada hojaye k aisa kam karo to shirk man liya jaye to kiya waisa kam agar wo bar bar karega to bar bar shirk ho ga ya sirf 1 bar hi shirk ho ga aur baqi bar waisa kam ka jitna gunah hona chahiye utna ho ga? Agar us se aisa wada ho gaya ke bar bar waisa kam karne se shirk ho ga to ab wo kis tarah Allah ko kahe ke ya Allah ghalti se wada ho gaya aap wo wada na manye mujhse nahi pura ho sakta.