Zakaat ke masaail

Zakaat aur qarz

Q:

1. Jis par zakat wajib ho or us pa qarz bhi ho to kia us par zakat wajib nahi? Kia wo pahlay qarz ada karay ga or phir pasay ho to zakat ada karay ga?

2. Jis ka pas raqam ho or wo qarz k tor pa di ho kisi ko to kia wo raqam bhi nisab ma sahmil hogi us ki bhi zakat deni ho gi?

Zakaat ka hisaab

Q:

1. Meray pas 1 tola sona or 15000 ko to 2 saal ho chuka jis pa zakat wajib h lakin in 2 saalo ma se aik pichaly saal se is mahinay tak muja eid or pocket money milti rahi h jo ma jama karti rahi hun jo taqriben ab 35000 ho gaye hn or isi saal ma aik gold ki ring bhi li h jo 10000 ki h in ko to abhi aik saal nahi hua lakin aik saal se jama kar rahi hun kia in par bhi zakat h agar h to kesy hisab lagaya jaye muja samj nahi arahi?

2. Or jab inko saal ho ga or in ka saal mukam honay tak jo or pasay jama ho ga to in ka kesay hisab lagay jaya ga zakat ka liye?

3. Or muja islami mahina to yad nahi to kia angraizi mah k hisab se zakat da dun kia ada ho jaye gi.

Eidi aur pocket money par zakaat?

Q: Manay parha h k zakat wajib honi aik aik shart nisaab ka maal e naami hona h jo maal ka barhna h mera maal to istarah barha h k muja eidi or poket mony milti h or jo koi mahaman da k jaye us se pasay jama hotay hn to kia is tarhan barhany waly maal pa zakat wajib ho ga ma khud to kaamti nahi hun na hi tijarat karti hun?

Zakaat ka hisaab karna

Q:

1. Meray pas aik tola sona h or 15000 rupay jo zaroorat k ilawa hn jin ko aik saal ho gaya h kia muj pa zakat wajib h or kitni deni ho gi?

2. Passay is k ilawa bhi hn lakin wo ahista ahista jama huay hn muja yad nahi k un ko saal hua j ya nahi to in ki bhi zakat ada karni ho gi?

3. Or kia aesay banday ko zakat da sakten hn jo kamata ho ?