Har maah zakaat nikaalna
Q: Me maloom karna yeh chahta hon k kya apni monthly income me se zakat har maah nikal sakta hon ya Ramzan me he ek sath nikal na chaheye?
Q: Me maloom karna yeh chahta hon k kya apni monthly income me se zakat har maah nikal sakta hon ya Ramzan me he ek sath nikal na chaheye?
Q: Agar baligh aulaad ko uss ky parents aur rishtadaar result par inam ky toor par rupees dain aur phir wo pessy aulaad se lay lay aur aulaad ye khy k ye mera ap k pass udhaar rha. aur ye pessy aulaad ky agar parents ky pass wo pessy udhaar mn saal se ziyada arsa rhy aur hai b itnay thy k chandi ky aitibaar se dekha jai to ye 52.5 tola chandi ki qimat se ziyada ky hi thy to kia uss pr zakat farz ho ghi? Khud to wo parents ky kharchay pa plta hai.
Q:
1. Kya sadqa kisi ghair muslim ko diya ja sakta hai?
2. Kya kisi ghareeb ko sadqa dete waqt ose bataya jaye k yeh mein sadqa de raha hoon tumhe.ya sadqe ki niyyat kar ke kisi ko b paise thama dena teek hai?
Q: Hamare waalid sahab ka inteqal ho Chuka he, hamare ammi ko Abbu ka pension milta he, aur hamare ammi ke bank account me 5 lakh rupees he aur kuch gold he, jispe saal guzar Chuka he, ye paise aur gold ko ammi ne meri aur meri bahan ki shadi aur mere bhai ki padai ke liye rakhe he,me job karta hoon, hamare ammi ke pass pension aur upar paiso and gold ke alawa koi aur source of income nai he, kya is Surat me hamare ammi par zakat farz he kyunke ammi ne 5 lakh aur gold hamare shadi ke liye rakhe he.
Q: Main ne do maah pehlay aik idaray main addmission lia tha jo zakat k paison se chalta hai. Mujhay zakat nahi lagti to kia main ye course kr skta hun ya nahi. Idaray walay Rs 500/- per month b detay hain. Us main seatain abi b khali hai yani students ki tadaad km hai. Please reply
Q: Ak sawal hai ek shaks jo dawate islami se juda hai uske do bachchiyan bhi hain aur koi karobar wagarah bhi nahi hai. deen ki khidmaat khoob anjam dete hai unke paas zayada paisa bhi nahi ki koi bussiness kar len. kuch tution wagaira aur kisi dini bhai se madad ke zariye se aamdani ho jati hai. unke paas apna makan bhi nahi hai bank mai Rs-5000+ LIC-Rs 26752 + bachchi ka yojana karaya hua RS 20000 + other Rs- 25000 hai total=76752 hai aur ek zameen wale se zameen khareedane ki baat karli hai jo zameen taqreeban Rs-750000 seven lakh fifty thousand me tay huee hai to kaya aaise me jo log madad ke liye kah rahe hain jo ki zakaat ka paisa hi denge to le sakta hai ki nahi . hadees ki roshni me jawab inayat farmayen.
Q:
1. Mera sawaal he, hum 10 tollay sonay (Gold) kay malik he, or hum ne 1992 se le kar 2017 aj tak zakaat nai di. 1992 se le kar ab tak humari kitni zakkat banti he? 1992 me sona jhelum pakistan se lea tha us ke baad tab se ab tak sona France me humre pass he.
2. Aur hum france me rahty he. Kia zakaaat euro currancy me hogi ya pakistani rupay me?
Q: Kya maan oar baap pe kharch karna bhi sadqa main aata ha? Oar kya sister jis ko divorce ho chuki ho lakin wo job Karti ho, kya us per ya us k bachoon per kharch sadqa main shumar ho ga? Masjid main jo pesay ya carpet ya koi oar cheese jesay actually wagera lagwa dena kis zumray main aaata ha.
Q: Mera sawaal he me 10 tollay sonay ki malik hu or mane 1992 se le kar 2016 aj tak zakaat nahi di. 1992 se le kar ab tak meri kitni zakaat banti he aur me France me rahti hn kia zakaaat meri euro me hogi ya pakistani rupay me? I am actualy from Pakistan.
Q: Me apni mali pareshani door karny ke liye apni salary se har month kuch pesa nikalna chahty hon, taky jo bhi mali pareshani hy woh door ho. Aap yeh batain ke yeh pese kis tarhan or kis niyat se nikaly jayen gay. Aya ZAKAT ki niyat se ye SADQY ki niyat se. Or kia har month nikalna zaroori hy ya saal me ek dafa. Agar har month nikaly jaye to us me koi harj to nahi hy. Main pehly se 2.5 % (Dhai Fesad) nikalta aa raha hon apni salary ka jo mustahiq ko jata hy. Magar phir bhi haalat wese hi hain or abhi tak ZAKAT ke naam se nikal raha tha. To kia woh tarika ghalat tha? Kia yeh pese sadaqay ki niyat se nikalny chahye thay or koi or tariqa ho to woh bhi bataye.