Q: Taqreeban two weeks phly mene yeh khawab men dekha tha. Tabeer bata den. Mene khawab men dekha ke ek kamra hai jo kaala kaala ca hai poora aor chota bhi hai and unko men mandirr (temple) samajh rae hun. Wahan mujje ek chota sa bacha milta hai boht khoobsurat aor ucka rang bhi boht safaid. Yun lagta hai ke ucki maa ucko wahan bhool gae hai. Men uc bachay ko utha leti hun aor apnay ghar le ati hun aor apni doston ko message karti hun kay ek bacha mujhe mila hai agr kici ka koi rishtedaar hai tou bata dou aor phir ek dost ka msg mujhe ata hai ke meri aunty ka beta hai wo. Men kehti hun abhi raat hogae hai boht tou subha mujce le len wo apna beta. Uc waqt men apnay ghar ke apnay kamray men bachay ke sath bethi hoti hun lekin khayal ata hai ke wo mandirr men ek tandoor hai aor agar men soo gae tou yeh bacha uc tandoor men gir ke jall jaega tou men faisla karti hun aor bachay ki maa ce bhi bolti hun ke men saari raat jaagungi. Taa ke imaanat men khiyanat na hojae mujhce (Baki phr jo hua wo theek ce yaad nai hai). Beech men bachay ki maa ka do dafa fone bhi ata hai aor bacha uc ce baat bhi karta hai.
A: Imaan owr Islam ayk bohot bari ni'mat he. Hume har waqt is ni'mat ki hifaazat karna chahia. Paanch waqt ki namaaz ku apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr hamesha neak lowgo ki suhbat me rahe. Issy tarah tamaam na mahram mardo owr larko ke saat purda ka ihtimaam kare owr aysi jage jaane se parhez kare jaha gunaah ho ya mardo owr awrato ka ikhtilaat ho.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: