Salaatul Haajat

Q: Huzaifa (Radiyallahu Anhu) se riwayat he ke jab Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku koi amar paish aata to Aap namaz parhte is ke liye Aap 2 ya 4 rakaat namaz parhte pehli rakaat ma Surah Fatiha ke bad 3 martaba Ayat ul Kursi parhte baki 3 rakaato ma Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas Surah Falaq or Surah Naas ek ek martaba parhte. Mashaikh se saabit he ke humne ye namaz parhi or hamari haajaten poori huwi. Ye hadees me ne kahi parhi he. Aapse poochna chahti hu ye hadees saheeh he? Kya hum namaz e hasjat is tarsh parh sakte he?

A: Hadeeth ka ye hissah ke haajat pesh aati ya koi pareshani hoti to Aap (sallallahu alaihi wa sallam) namaaz ki taraf mutawajjih hote hadeeth se thaabit he. Albatta is tarah ki soorato parhna hame hadeeth me dekha nahi. Agar koi usko parhe usko sunnat samajh karke to ghalat he. Baaqi agar waysa hee parhe sunnat samajh karke baghayr to uski ijaazat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)