Khwaab ki ta'beer

Q: Mein apnay khwaab ki tabeer poochna chahti hun. Pichlay kai din se mein khabon mein is qader roo rahi hun ke only Allah knows, aesa feel hota hai ke shidat e gham sy mera sena phat jaye ga. Pehlay sister ke baray mein ik bura khwab dekha. Khwaab mein hi mein itna roi is qader dil gham se bara tha ke ro ro kar halkan huay ja rahi thi but ansu ka tofan tham hi nahi rha the. Haqeeqat mein bhi kabhi mein itna nahi roi hataa ke mein sotay mein aahein bhar rhi thi or meri mother ny foran mujhay jagaya. Jagnay ke bohot der bad tak bhi mein roti hi rhi. Ab phir khwaab dekha apnay mamu ke baray mein or woh bhi acha nahi dekha or mein itna roti hun khwab mein hi bohot ziyada. In sab khwabon men ik baat mushtarak thi jo mein ne note ki or woh ye ke meray siwa kisi ko parwah hi nahi hoti. Even my family too. (hanlankeh in real my family is very caring and loving Alhamdulillah). Kisi ko mera dard mehsoos hi nahi hota. Sab normal behave hi kar rahay hotay hein balkeh yeh keh saktay hein ke meri halat un ke samnay koi maani nahi rakhti mujhay be panah takleef mein (means rotay huay dekh kar) bhi koi meri takleef kam krnay ki koshish nahi krta. mein haqeqat mein b kabhi itna nhi roi jitna mein ny khud ko pichlay do khwabon mein rota hua paya owr rona bhi aesa ke jesay seenay mein itna dard ka allao hai ke mein na rotay huay thakti hun or na hi dard kam hota hai. Alhamdulillah I offer my prayers regularly so baraye mehrbani is ki tabeer se aghah kar dein.

A: Sowne se pehle chaar qul owr aayatul qursi parhliya kare owr apne upar dam kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada