Q: I saw a dream jisme mai ek college gayi hun. Phir achanak ek pahar se log kayo janazain leke jarahe hain aurai us pahad sebutarna chahti hun to for log janazon lejarahe hain aur ek janaza wo rakke chalegaye so Mai kehti hun us janaze ko dafan karo par wo log kehte hain k uske rishtaar nahinhai to Mai kiwi tarah koshiah krke us janaze konpahad k upar lejake kuch namazi logon ko batalar wapas apne mama k sath ghar chali jati hun aur is khwab k dauran Maine kayi hajiyon ko dekha jo hajj k loye jarahe hain.. Aur wo log ro rahe hain hajj ko jate waqt ek taraf janaze hain dusrintaraf hajiyon ka daera hai aur ek janaza lachhar parha hai isme Mai us janaze k lite bahut zyada pareshan thi aur uski jagah pahunchake mujhe sukuun aaya.. Please iski tabeer batao.
A: Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram mardo owr larko ke saat. Hamesha ache owr neak lowgo ki suhbat me rahe aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubaarak Sunnat wali zindagi ke mutaabiq guzaarne ki kowshish kare. Jis jaga me mardo owr awrato ka ikhtilaat ho, waha jaane se parhez kare. Har waqt zabaan aur ankh ki hifaazat kare owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (masalan cellphone, internet, TV, buri suhbat, novels, waghairah). Allah Ta'ala aap ku kamiyaab banae.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: