Q: Mene khwaab dekha ke men aur meri cousin kahin jarhe hen. Humne (burka) gaun aur scarf pehna hua he. Raste se jaty huye deewar pe ek pipe laga hua he jo ke kisi baitul khala men laga hua he, aur us me se pakhana neeche nale me gir raha he. Hum jab cross kar rahe hen to pakhana mere haath aur scarf pe lag jata hy aur men apni cousin se kehti hu saf karne me help karo. Phir wo help karti he aur gali men hi pani ka nalka hta hy jis se hum ye gandgi saf krty hen.
A: Paanch waqt ki namaaz ku apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr purda ka ihtimaam kya kare tamaan na mahram lowgo ke saat. Issy tarah tamaam mushtabah owr haraam cheezo se parhez kare masalan ghaana sunna, ghalat suhbat me rehna (cellphone, internet,TV waghairagh dekhna) owr har waqt aankh kaan zabaan owr dil ki hifaazat karna tamaam gunaaho se.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: