Khwaab ki ta'beer

Q: Janab sirf teen din pehle maine khwab dekha ki main veeran khet mein ek jhaad ke paas khada hoon aur mere saath ek shakhs khada hai lekin mujhe uski shakal dikhai nahi deti,tabhi achanak jhaadiyon mein sarsarahat hoti hai aur main dekhta hoon ke do saanp bahot bade aur ek rang kaale wahan se baramad hote hain woh hamari taraf dekhte hain aur barq raftari muqalif simth nikal jate hain main hairan unhe dekhta hoon yeh kyon jaa rahe hain,tab main peeche mudkar kya dekhta hoon,ta had-E-nigaah mujhe mongoose nazar aate hain aur usi barq raftari se udhar jaate hain jis raaste par saanp gaye hain,mongoose uchhal uchhal kar bhaagte hue nazar aate hain jaise kangaaro bhaagte hain lekin bilkul barq raftari se,aur meri neend khul jaati hain.Barae karam muje iski tabeer bataiye main badi kashmakash mein hoon Kuda Haafiz.

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada