Khwaab ki ta'beer

Q: Mai doctor hu. Mujhey study ka hemesha sai bohat pasand hai. Mene fcps bhi clear kar lia but aik saal hua mujhey kahi job nahi mili. Mai 5 waqt ki namazi parti thi aur Quran bhi Roxana parhti thi but ab bohat bedali sai parhti hu jesay berooh namazai hoti hai. Phelay mai kisi sai nahi larti thi ab mai roz larti hu. Mera dil kisi kam mai nahi lagta. Ami had waqt meri shadi k lie preshan rehti hai aur jab wo mujey kuch bolti hai you mera dil kerta mai kudh kushi kar lu. Mai ratoo ko dar jati hu aur phr sari raat jagti hu aur din mai soti. Much arsa phelay mai nai khwab dekha k mai aur meri sisters khel rahai sehan mai..aik dam laal andhi at I aur Sara ghar uthal puthal kar daiti ...thori dair baad mai daikhti k Ami bahir ati you meri sisters ka kisi k tang tooti hai aur Sab zakhmi hai mearay elawa koi bhi theek nai. Phr mai bolti mai manhoos hu is ghar k lie Sab meri waja sai hua mai mar kuo nahi jati. Mujhey bohat preshani ho rai khwab kabi kisi ko Mara hua dekhti kabhi kisi ko. Please help me. Manzil bhi parhti hu but mera damage meray control mai nahi rehta ulta seedha sochti rehti.

A: Paanch waqt ki namaaz ku apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr purda ka ihtimaam kya kare tamaan na mahram lowgo ke saat. Issy tarah tamaam mushtabah owr haraam cheezo se parhez kare masalan ghaana sunna, ghalat suhbat me rehna (cellphone, internet,TV waghairagh dekhna) owr har waqt aankh kaan zabaan owr dil ki hifaazat karna tamaam gunaaho se. Allah Ta'ala aap ku hamesha khush rakhenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada