Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne kai dino pehle khwab dekha tha tahajud ke wqt. Mai or meri cousin ham sath khari hoti hain ke ma asman ki taraf daikhti hun to kale badal aa rahe hote hain jaise hi qareeb ate hain un se parinde ban jate hain or side pa chale jate hain mere dil ma foran ata ha k yeh azab k liye honge. Pir jaise hi wo chale jate hain samne se do white parinde ate hain or hamare qareeb aa kar un se do piyari larkiyan ban jati hain dono pure white kapron ma hoti hain, dono ke hath ma page hota ha aik mujhe daiti hai aik meri czn ko or kehti hai ke yeh Hazrat Ayub (Alayhis Salaam) ki taraf se ha. Mujhe yaad nahi us page pa kiya likha tha shaid wo Arbi me tha to wo mujhe kuch kehti hai laikin mujhe sirf yeh do alfaaz yad hain ke 'Dera ismail khan' or 'Inkar mat karna'. Shaid aisa kaha tha ke waha se koi ae ga to inkar na karna. Mai us se poochti hun ke kiya matlab hai wo mujhe kehti ha k tumhare sawalon ka jawab is page ma hai. Phir wo kehti hai ke ma jati hun meri dosri dost chali gayi ha or wo chali jati hai. kindly is ki tabeer bata dain.

A: Insaan ke upar tarah tarah ke imtihaanaat owr mushkilaat apne zindagi me aate he. Agar wo kaamiyaab banna chahe, to us se chahia ke wo hamesha Allah Ta'ala ki farmabardari me rahe owr gunaah wali zindagi ku chowrde. Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak tareeqe ke upar amal karne se insaan Allah Ta'ala tak phonch sakega owr kaamiyaab hoga. Khwaab is taraf ishaarah kar raha he ke agar tum seede raaste par rahe to hamesha tum khush rahenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada