Published 9 years ago
Last updated 9 years ago
Q: Me jaanna chahta hu ke 1. Dawat 2. Tableegh 3. Jihaad 4. Deen ki mehnat, in alfaz me kya difference he.
A: Dawat aur tableegh eik hee cheez he. Uska khulasa logo ko khuda ki taraf bulaana he, chaahe kitaabo se chaahe zabaani. Aur jihaad khuda ke raah apne maal wa jaan ko qurbaan karna i`laa-e-kalimatullah keliye. Aur deen ki mehnat tamaam deeni kaamo ke oopar uska itlaaq ho sakta he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: