Q: Agar shohar biwi ko gussay may kahay "Jao mene tumahain azad kia" tum farig ho meri taraf se" and kai bar kahay eik sath. Aur time to time like eik month ke bad bhi yehi ilfaz kahay. Phir again kch arsay ke bad kahay tu kia isse talaaq ho jati hai? Ayk aur bat add karna chahun gi. Bad me agar khaawind kahay ke meri talaq denay ki niyat nai thi but usne hamesha gussay me kahay ye ilfaz. To kia ye talaq ho gayi?
A: Agar aapke yahaa urf ye he ke in alfaaz se aammatan talaaq hoti he to talaaq-e-raj'ee ho jayegi. Owr agar aapke yahaa urf nahi he, to showhar ki niyyat par mawqoof he. Agar in alfaaz ke bowlne ke waqt us ki niyyat talaaq thi, to talaaq-e-baain hojaegi warna talaaq nahi hogi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: