Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy Khwaab ki tabeer jaan'ni hai aur ye 6 bje ke bad aya hai khwaab. Khwaab ye ke subha ka time hota hai bht tez barish ho rahi hoti hai aur mene apn ghar kuch change dekha hai k bahar sehen bana huwa hai. chat mn .. aur shaam ko barish ruk jaati hai .. mn sehen mn wiper maarne jaati hun aur sb andar roomz mn bethe hotay hain .. phr mn assmaan ki taraf dekhti hun tw bht khoibsurat lgta hai mjhy .. bilkul red pink lehren c aa rhi hoti hain badlon ki .. aur red colour ka sooraj nikal rha hota hai aadha un mn se .. mn kehti hun wow kitna pyaara lg rha hai aasman .. tw mn beth kr dekhti rehti hun aik dam white badlon k saath aasman pt Mohammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka naam likhta hai koi .. aur saath mn suaad bh likha hota hai .. mn dekh kr heran ho jaati hun aur bht khush hoti hun .. aur sb ko andar se bulati hun k wo dekho aasman mn kya likha hai aur jab sb aatay hain tw wo ahista ahista dhundla ho jata hai .. aur phr saray andar chalay jatay hain .. phr mn kehti hun k abhi tw yahin tha.. kese mit gaya .. phr us k bd mn dekhti rehti hun aasman ko k abhi phr likhega kuch .. thori dair bd La Ila Ha Illallah.. likhta hai white badlon se.. mn phr bht khush hoti hun aur sb ko bulati hun lekin un k aanay tk wo badal ban jata hai simple .. phr mn yaqeen dilanay ki koshish kr rhi hoti hun k mene apni Ankhom se dekha hai .. k likha tha .. aur phe eri aankh khul jaati hai ..Ap plz iski tabeer bta den.

A: Ye acha khwaab he. Tamaam kaamo ku sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare. Allah Ta'ala tum lowgo ku barkat naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada