Marhoom waalid ke lia sawaab bhejna

Q: Mary abu faut ho chuky he. Me ne khwaab me daikha ke me meri ami ar mary sy choti bhn ar abu aik kmry mn hn. Meri ami khti hn hm chuti guzarny ja rahy hn ar wh khob tyar ho jati hn khawab mn wh jawan nazr aa rahi hn. Mn nhi jana chahti pr wh zabardasti kr rahi hn. Sirf main meri ami ar bhn. Mujhy abu ko daikh kr dil kr raha ha kh mn ruk kr apny abu ki daikh bal kron. Abu khamosh baithy hn unhain chor kr jany ko dil nhi pr ami zabardasti ly jati hn mujhy ya zabardasti krti hn.

A: Apne marhoom waalid ke lia dua-e-maghfirat kare owr Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab un ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: