Qardhe lene me ihtiyaat baratna

Q: Mera aapsay aik sawal he ke me ne puchna tha udhar ka baray ma jaisay ka kuch udhar aam tor pa hum bhol jatay haan ar lain dain ma itna masroof ho jatay haan ka kisi ka dayna walay paisay kafi arsa pehle jo hum log bhol jatay haan. Is ke baray ma kya ho sakta he? Aur aagr kafi talash ke bawajood wo ya uska lawaikeen nai milte to is surat ma kya ho sakta jaisa ka udhar ka baray ma ha ka insan jab tk udhar nai day ga uska nama amal agay nahin chal pay ga qabar ma.

A: In cheezo me aap ku bohot ihtiyaat baratna chahia. Jo qarze aap lowgo se lele ya jo lowgo ke duyoon aap ke zimme par he, to us ku apne waqt par ada karna chahia. Us ku likh kar record banae, taake aainda aap bhool ne jae. Huqooqul ibaad ka muaamala bohot sangeen he. Jo shaks lowgo ke paise churaae ya un ke huqooq dabae, qiyaamat ke rowz us ke neak aamaal ka sawaab unke qardh khaawho ku diye jaaenge jin ke paise us ne churaalie. Jo lowgo ke paise aap ke paas he, wo hifaazat se rakh le owr tahqeeq karte rahe. Jab maalik miljae, to un ku dede.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)