Larka owr larki downo Allah Ta'ala ki nimato me se he

Q: Main ne khawab main dekha ke main Allah gi se dua mangatee hoo k mujh ko khawb main dekha dain ke mery ghar main kon sa baby hoo ga (main pregnant hoo) phir main dakhee k main ghar jatee hoo aur bed pe baby Hota hai main shocked hoo jatee hoo k mery ghar main baby girl hai chotee ci phir main sochtee hoo k mery pass three daughters hain aur ab main fourth time pregnant hoo (mery pass pehly two daughters hain ma Sha Allah ab main third time pregnant hoo). Is ki kiya tabeer hai? Please bata dain. Different khwaab main Dekhtee hoo k koi mujh se pochna hai k mery pass kitny baby hain main uss ko batatee hoo ke two daughters aur aik beta hai. Lekin mery ghar main abi beta hota nahi hai sirf two daughters hee hotee hain aur main pregnant hotee hoo per main kahtee hoo ke aik beta aur two daughters hain. Please iss ki bhi tabeer bata dain.

A: Larka ho ya larki, downo Allah Ta'ala ki nimato me se he. Lihaza aap ku chahia ke jo bhi Allah Ta'ala tumhe naseeb farmae, aap us se khush hojae. Allah Ta'ala aap ki dili tamanna poori farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada