Khwaab ki ta'beer

Q: Khwaab me aik ajeeb dadu yan mendak jesi chipkali dekhna aur kuch ajeeb gandi ci jaga me. Wo kbhi nazar aa rhi hai tw kbhi chup jaati hai. Aur mn bh kbhi dar rhi hun tw kbhi hans rhi hun usay dekh kar. Kuch smjh nhn aya. Aap iski tabeer bata sktay hain. Please mene pehle bhi do khwaab btaye jis me se aik ki tabeer batayi. Lekin is bar me doosra email nahi krungi. Isi me aapku doosra khwaab bata deti hun. Please aap naraaz mt hoyega lekin mujhy answer dijyega dono ki.

Khwaab meri sister ne dekha hai ke hamare ghar me black and white billi hai hamari paali huwi aur bohot khoobsurat! Although hum ne kabhi billi nahi paali lekin khwab mn ayi hai. Aagay kuch esa hai khwab k kitchen aik choolhay phir haandi bn rhi hoti hai aur aik taraf dood para hota hai .. Aur billi ko bhook lg rhi hoti hai tw usay choolhay pr para dood nazar aata hai .. Aur wo uski taraf janay lgi hoti hai tw meri sis dkh kr usay wahan se bhaganay ki koshish kr rhi hoti hai .. Lekin wo bhaagtay hwe dood wali karayi k pas janay k bjaye wo jaltay hwe choolhay k pas chali jaati hai aur handi walay pateelay k saath chipk jaati hai .. Aur jalne lg jaati hai .. Us k jal kr hisse alg ho jatay hain sar paun pait alg .. Phr bari sis jaldi se upar main gas pipe se wall band kr deti hain aur phr ammi billi ko shapar mn daal kr bahar dustbin mn phenk deti hain .. Aur phr mn aur meri sis jis ne khwab dekha hai .. Ham dono wo shapr dekh rhe hotay hain kharay ho kr .. Aur aik dan se shapr hilne lg jata hai .. Aur dekhte hain k shpar phat'ta hai aur billi apne hisse jorne lgti hai. Paun ke zarye apni gardan agay kr k jorne lgti hai bs wo itna he dekhti hai khwab k aik dam se meri sis mjhy dekhti hai k jo billi ki gardan pr nishan hota khoon se bhara zkhm wo meri gardan mn hota hai. Aur phr meri sis mjhy dkh kr kehti hai k tmhari gardan par kya hwa hai. Hillo mt abhi thk ho jayegi. Aur mn aik jaga beth jaati hun k meri gardan thk se jur jaye. Bas yahi khwab dekha us ne. Apki bht meharbani hogi is khwab ki tabeer bata den.

A:

1. Hamesha achi suhbat me rahe owr buri suhbat se parhez kare. Buri suhbat se aadmi ke Deen owr dunya ku nuqsaan phonchta he.

2. Allah Ta'ala barkat naseeb farmae tumhare maal owr rowzi me owr haasideen ke hasad se Allah Ta'ala tumhari hifaazat farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels: