Q: Meri shaadi ku 6 saal ho rahy he. Mery do bachy he. Dono larky he barha chaar saal ka chota do saal ka he magr pechle 1sal se meri bv bat bat mai naraz ho ky apne meky jati h kbi 2mahine to kbi 4 mahine guzrne k bad mafi mang k wapas ha chuki hy magr abi bi osy 2mahine phr se hore hy wo phr naraz hoky gai hy or jab bi wo naraz hoky meky jati h to bacho ko nai le jati hy jab mai ne waja pucha to muj se kehne lagi 'bachy tmare sat kush hy mere samne abi pori zindagi hy ap muje aazad kro mai ja k dosri shadi krogi' or yeh bat meri bv ne muje kehne k bad kagaz pe lekh k bi muje diya h. Mera sawal yeh hy k kia mai ain halat mai apni bv ko os k kehne k mutabiq talaq de sakta ho jab k bachhy apni maa k liye rote hy or maa une apne pas rakne ko teyar nai kia shariyat mai ais ky bare mai kuch h please koi raasta batae.
A: Meri raiy yeh he ke usko samjhaane ki koshish kare ba wajood samjhaane ke agar woh nahi samajhti to usko alag karke kisee sanjeeda aurat se shaadi karle jo aapka mizaaj saheeh samajh sakti he aur aapke bachcho ke saath khayr ka muaamalah karle.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: