Jis shart ke upar talaaq muallaq kya gaya, usku bhoolna

Q: Mera sawaal ha ke aaj se chaar saal pahlay ki baat ha ke maray husband my talaq ko (Mashrot) ki thi or mujy sahi sa yaad b nahi aa araha ha but kaha tha k ab iger aisa kiya tu tumhein talaq ha ya Ho gi ma iss sentence mein b sure nahi hon question ya ha k ma buhat negetive insan hon her baat ko zahan per sawar ker Leti hon ab mujy tu na shart yaad ha na ya k kis baat per kaha tha uss waqat jab bola tha tab bi shayad ma na shart ko mind mein rakhnay ki bajaiya ya baat mind mein baitha li k iger husband aisa kahay tu kaya Ho jati ha ma na shayad uss baat per focus nahi kiya k wo shart kaya thi tu kertay Kerty wo maray mind sa mit gayi ha ab kaya pata ma na ker li Ho wo baat ya future mein Ho jaiya ya iger past mein Ho gayi Ho per mujy kyun yaad nahi aa raha k wo akhir baat kaya thi jis per shart lag ayi thi ma buht prashan hon what Islam says

A: Jab dono mia biwi ko ye shart ki baate ko yaad nahi to nikaah saheeh he. Aaindah keliye ihtiyaat rakhne ki dharoorat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)