Q: Mera sawal hai
1- Kya ham jasne Eid Miladunabi mana sakte hain?
2-Kya Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku ilme gaib tha? hawala dekar bataye.
3-Kya ham Kisi Wali ke wasile se madad talab kar sakte hain?
4-Deobandi mazhab ka Aqaid kaisa hai?
5-Kya ap Alahazrat ku mante hain?
A:
1. Me samajh raha hu ke ye Hadhrat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke saath bohot hee be muruwwati ka muamalah he ke Hazrat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke saath eik hee roz jashan manana, ye to har roz jashan manana ye wafa daar musalmaan ka tareeqah hona chaahiye. Ye jashan apne makaan me bhi karna chaahiye is tarah se ke Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ki seerat ko ghar waale ko sunaaye aur durod shareef ko kathrat se parhe.
2. Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ne khood inkaar kya ke mere paas ilme ghayb nahi he.
3. Jee.
4. Saheeh he, Qur'aan aur hadeeth ke muwaafiq he.
5. Aala Hazrat kon he? Aap baataaye. Me unko jaanata nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: