Khwaab ki ta'beer

Q: Maine rishte ke silsile me istikhara kiya. Pehle kwaab me maine apne aap ko dosto ke saath khush dekha. Aur usi raat maine Khwaab me maine janaza dekha. Is ka kyaa matlab hey? Suggest karey ke rishta sahi hey ya nahi.

A: Jis larki se nikaah karne ke lia aap ne istikhara kya, agar aap owr aap ke maa baap us ke Deen owr akhlaaq se khush he, owr larki ke maa baap, apni larki ka nikaah aap se parhaane ke lia bhi khush he, to aap shaadi karsakte. Khwaab acha he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels