Q: Mujhe khwab ki tabeer jaani hai. Khwab ye hai k Mn khud ko bht baray samandar k kinaray dekhti hun .. shaam ka time hota hai .. mn bht azaad aur khush hoti hun aur samandar mjhy bht pasnd hai .. mn samandar k kinaray chal rhi hoti hun aur wahin aik pathar nazar aata hai mjhy .. mn wahan jaa kr beth jaati hun aur apne paun neeche samandar pe latka deti hun .. mjhy bht acha lg rha hota hai.. mere paun bheeg jatay hain sb .. phr aik dam se paani k saath black kaikray (crab) aana shuru ho jatay hain .. aur paani ki lehron k saath saath wo barhtay jatay hain .. aur mere paun k saath takranay lg jatay hain .. mn ghabra jaati hun.. kch mere paun pe uppar chalne lgtay hain aur mere chilatay hwe apne paun peeche hatati hun aur wahan se uth jaati hun.. is k bd aik aadmi nazar aata hai wo bh wahin hota hai .. mn us se bh ghabrati hwi wahan se door chali jaati hun aur aik jhonpri k peeche chup kr mn phr geelay kapre change krne lgti hun.. aur saath he ro rhi hoti hun.. lekin is pooray khwab mn .. mn udaas he thi .. jese pehle smandar k paas ayi wo bh udaasi mn.. bs yahi khwab tha apki meharbani hogi k ap mjhy iski tabeer bta den .. Shukria .. Allahfiz.. Fi Amanillah .. Plz dua kijyega mere aur mere achay naseeb k lye .. jo mere haq mn behtar ho Allah mjhy wo ata kren .. Ameen ..
A: Musalmaan ku chahia ke har waqt Allah Ta'ala ki taraf ruju kare owr un ki rahmat ke lia dua kare. Kisi bhi surat me musalmaan mayoos nahi hona chahia. Tarah tarah ke dushwaariya insaan ke upar aati rahege, lekin us ku chahia ke apni himmat ne haare owr apna howsla buland rakhe. Allah Ta'ala ki rahmat haasil karne ka tareeqa ye he ke hamesha Allah Ta'ala ku khush rakhe owr un ku naraaz ne rakhe. Agar aap Allah Ta'ala ku khush rakhenge, Allah Ta'ala aap ku bhi khush rakhenge. Allah Ta'ala ku khush rakhne ka tareeqa ye he ke aadmi panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Neak suhbat ikhtiyaar kare owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (jaise cellphone, internet, TV, waghairah). Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larko se. Agar aap nek raaste ki oopar chale gi aur har waqt ghunnaho se bachegi, to Allah Ta'ala aap ku hamesha khush rakhenge owr kamiyaab banaenge.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: