Khwaab ki ta'beer

Q: Mai nay kal khwaab may dekha ke 13 dost hotay hain. Wo sub akser ek tahkhanay may jama ho k shugal lagatay hain in may larkay or larkiya mix hotay hain. Lakin phir usi tah khanay may un may say ek dost apne sub dosto ko bari bari maar deta hai..or un sub k tukray tukray ke k alug alug boxes may jama ker k rukhta hai.jub akhri do dost rah jatay hain to wo thora idher udher hota hai to wo dost apni jaan bacha k bhaag jata hai ..lakin katil dost phir usko paker leta hai ...katil dost phir thor sa idher udher hota hai to phir wohi dost bhaag jata hai or bhagta bhaagta kuchi abadio may pohanch jata hai.jaha chotay or kuchay Matti k gher banay hotay hain waha ek Dari wala admi usko dekhta hai or bolta hai tum kafi ghabraye huay lagtay ho samnay masjij hai waha ja k dua kro gay to tumhay sakoon milay ga..jub wo masjid me thora waqt guzar ker bahir nikalta hai to usay apne maray huay dosto me say ek dost sabzi bechta hua nazer aata hai ..wo usko apni taraf bulata hai or usay apne gher le jata hai...waha wo sabzi wala apne sub dosto ko ikutha kerta hai to wo sub dost wohi hotay hain jinko katil dost nay maar diya hota hai ..lakin Jo katil dost hota hai wo itna chota nazer ata hai k sub k foot se b chota hota hai....phir fajer ki azan ho jati hai or meri ankh khul jati hai.... Kuch ajeeb sa khab hai.. na to mai asay dramay dekhti hu or na asa sochti hu .or na he mere itnay dost hain..ager is khawab ki koi Tabeer hai to aap muje plz reply kerain .mai bohut upset hu is khab se.....shukriya .jawab ki muntazir

A: Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr purda ka ihtimaam kare tamaam na mahram lowgo ke saat. Issy tarah hamesha achi suhbat me rahe owr buri suhbat se bache. Buri suhbat se aadmi gunaah me mubtala hota he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada